Famous Dialogues from Movie – Wajood (1998)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Wajood released in year 1998

Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho … kaise bataon main tumhe tum dhadkanon ka geet ho, jeevan ka tum sangeet ho, tum zindagi, tum bandagi, tum roshni, tum taazgi, tum har khushi, tum pyar ho, tum preet ho, manmeet ho … aankhon mein tum, yaadon mein tum, saanson mein tum, aahon mein tum, neendon mein tum, khwaabon mein tum … tum ho meri har baat mein, tum ho mere din raat mein, tum subaah mein, tum shyaam mein, tum soch mein, tum kaam mein … mere liye paana bhi tum, mere liye khona bhi tum, mere liye hasna bhi tum, mere liye rona bhi tum aur jaagna sona bhi tum … jaaon kahin, dekhon kahin, tum ho wahan, tum ho wahin … kaise bataon main tumhe tum bin toh main kuch bhi nahi … kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho

by Nana Patekar
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance, Music
——-

Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho … yeh joh tumhara roop hai, yeh zindagi ki dhoop hai … chandan se tarsha hai badan, behti hai jis mein ek agan … yeh shokhiyan, yeh mastiyan, tumko hawaon se mili, zulfein ghataon se mili … hooton mein kaliyan khil gayi, aankhon ko jheele mil gayi … chehre mein simti chandni, awaaz mein hai ragini … sheeshe ke jaisa ang hai, phoolon ke jaisa rang hai, nadiyon ke jaisi chaal hai, kya husn hai, kya haal hai … yeh jism ki rangeeniyan, jaise hazaaron titliyan, baahon ki yeh golaiyan, aanchal mein yeh parchaiyan … yeh nagriyan hai khwaab ki, kaise bataon main tumhe haalat dil-e-betaab ki … kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho

by Nana Patekar
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance
——-

Destiny bahut beraham hoti hai … yeh apne doston se mooh pherne par aur dushmanon se baat karne par majboor kar deti hai

by Nana Patekar
categorised in World & Universe
and also in Luck & Destiny, Friendship, Enemy
——-

Auraton par kabhi yakeen mat karna … mardon ke liye woh maut hoti hai … kubool kare toh shohar banakar maarti hai … thukra de toh deewana banakar

by Nana Patekar
categorised in World & Universe
and also in Women, Men, Husband & Wife
——-

Har koi degree diploma le, engineer banne koi zaroori nahi … Gavaskar, Tendulkar, Zakir Hussain ko koi nahi poochta … tumhari degree kya hai?

by Nana Patekar
categorised in World & Universe
and also in Education, Job & Career
——-

Ek fauji ke liye har lamha, har samna … ek ladai hai

by Nana Patekar
categorised in World & Universe
and also in War & Battle
——-

Chal lekar apni naav chale, chandan chandani ke gaon chale … indradhanush ki behti dhara, uske paar teesra kinara … is safar mein aur koi nahi, yeh safar hai bas mera tumhara … ab kis dastak ka hai intezar, jab tumhe pukarta ho pyar aur samne ho sapnon ka sansar … chal lekar sapnon ki naav chale, chandan chandani ke gaon chale

by Nana Patekar
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance, Transportation
——-

Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho … kaise bataon main tumhe mere liye tum dharam ho, mere liye imaan ho … tum hi ibaadat ho meri, tum hi to chaahat ho meri … tum hi mera armaan ho, takta hoon main har pal jisse tum hi to voh tasveer ho, tum hi meri taqdeer ho … tum hi sitaara ho mera, tum hi nazaara ho mera … yudhyan mein mere ho tum, jaise mujhe ghere ho tum … purab mein tum, paschim mein tum, uttar mein tum, dakshin mein tum, saare mere jeevan mein tum, har pal mein tum, har chin mein tum … mere liye rasta bhi tum, mere liye manzil bhi tum, mere liye saagar bhi tum, mere liye saahil bhi tum … main dekhta bas tumko hoon, main sochta bas tumko hoon, main jaanta bas tumko hoon, main maanta bas tumko hoon, tum hi meri pehchaan ho … kaise bataon main tumhe, devi ho tum mere liye, mere liye bhagwaan ho … kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho

by Nana Patekar
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance, Religion & God
——-

Yeh bangla, yeh jaidaat sab kuch cheena ja sakta hai … paas rehta hai toh sirf apna wajood

by Madhuri Dixit
categorised in World & Universe
and also in House, Drama
——-

Hamare haathon mein itni hararat hai … ki kisi bhi jism ko tarashkar Taj Mahal bana de … aur unhi haathon mein itna barood thoosa hai … ke mazboot se mazboot killay ko bhi todh de

by Nana Patekar
categorised in World & Universe
and also in City & Places, Drama
——-

Koi bhi hunar, koi bhi kala, koi bhi sammaan joh paise mein tabdeel na ho na … uske peeche zindagi zayaa karna bilkul bekaar hai

by Rajeev Verma
categorised in World & Universe
and also in Money, Life

In case there are some dialogues missed from the movie Wajood (genre: Drama) from 1998, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *