Collection of some famous & popular dialogues from movie Shivaay released in year 2016
Zaroorat se zyada kabhi usse maanga nahi … zaroorat se kam kabhi usne diya nahi
by Ajay Devgan
categorised in World & Universe
and also in Religion & God
——-
Mulaqaton ko din aur hafton se kyun gina jaata hai … saanson se kyun nahi … agar saanson se gina jaaye toh lagega … bahut lambi umar hai is kam umar rishtey ki
by Ajay Devgan
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-
Na aadi na anth hai uska … woh sabka na inka unka … wohi shunya hai, wohi ikai … jiske bheetar basa Shivaay … aankh moondkar dekh raha hai … saath samay ke khel raha hai … Mahadev maha ekaki … jiske liye jagat hai jagi … wohi shunya hai, wohi ikai … jiske bheetar basa Shivaay … Ram bhi uska, Ravan uska … jeevan uska maran bhi uska … tandav hai aur dhyan bhi woh hai … agyani ka gyan bhi woh hai … isko kaanta lage na kankar … rann mein Rudra, gharon mein Shankar … anth yahi sare vighno ka … is bhole ka vaar bhayankar … wohi shunya hai, wohi ikai … jiske bheetar basa Shivaay
by Ajay Devgan
categorised in World & Universe
and also in Poem, Religion & God
——-
Jiske na aage koi ho, na peeche … woh sari zindagi sirf ek hi cheez dhoondta hai … family
by Ajay Devgan
categorised in World & Universe
and also in Family
——-
Tarai mein rehne walon ko oonchai pe rehne walon ki hamesha zaroorat padti hai
by Ajay Devgan
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-
Ab tak kisi ko nahi maara … lekin ab joh mujhe rokega … marega
by Ajay Devgan
categorised in World & Universe
and also in Action
——-
Comics ki duniya ke bahar superheroes bahut kam milte hai
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-
Aasmaan ka rang aankhon mein leke utri hai ek videshi apsara … pighal rahi hai baraf, pighal raha hai ek brahmachari ka dil zara zara … kahin aisa toh nahi ki saawan ke andhe ko dikhta ho sab hara hara
by Ajay Devgan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Comedy
——-
Videshi mooh se desi zubaan sunkar aisa lagta hai … jaise kaanch ke glass mein kankar daalkar khakda diya ho kisi ne
by Ajay Devgan
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-
Joh shivaay ban jaaye … usse kuch aur ban’ne ki zaroorat nahi
by Ajay Devgan
categorised in World & Universe
and also in Religion & God
In case there are some dialogues missed from the movie Shivaay (genre: Action, Drama) from 2016, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.
Leave a Reply