Famous Dialogues from Movie – Shandaar (1990)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Shandaar released in year 1990

Sona ho ya chandi, usse tolne ka tarazu lohe ya peetal hi ka hota hai … is hi tarah duniya ki har cheez insaaniyat ke tarazu pe toli jaati hai

by Yunus Parvez
categorised in World & Universe
and also in Inspiration
——-

Main akela hi chala tha apni manzil ki taraf … log saath aate gaye aur karavan banta gaya … khoon-e-dil se humne likhi gham ki yoon dastan … zindagi ka shandar ek gulsitan banta gaya

categorised in World & Universe
and also in Shayari, Life
——-

Ek gareeb ki sabse badi daulat uski izzat hai … aur woh izzat dekar bhi apna pyar, apne sapne kabhi nahi khareed sakta

by Juhi Chawla
categorised in World & Universe
and also in Drama, Dreams
——-

Har daulat ke peeche koi na koi jurm hota hai … aur jab tak jurm nahi karta na koi lakhpati banta hai, na crorepati

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Crime, Money
——-

Mere maula kab talak gussa na unpar aayega … zaalimon pe rehman aakhir kab talak farmayega … kab talak hote rahenge bekason pe zulm aur sitam … kab talak yeh khooni manzar bastu dete jayega

by Saeed Jaffrey
categorised in World & Universe
and also in Shayari
——-

Daulat ki mandi mein kanoon hamare isharon par kathputli ki tarah naachta hai … aur insaaf hum karte hai, hum

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Money, Law & Order
——-

Agar ab bhi tumhe gareeb ki taqat ka andaaza nahi toh jao … duniya mein jitne mahal bane hai … unki khandaron ki ek ek eent se poocho ki tumhe banane waala kaun aur mitaane waala kaun … yeh sachai hai

by Mithun Chakraborty
categorised in World & Universe
and also in House, Drama
——-

Yeh woh danda hai joh badan pe pade toh chamdi phatti nahi hai … dard haddiyon tak ghus jaata hai

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Action
——-

Gareebon ka khoon jab saanche mein dhalta hai toh yeh sikka banta hai … aur jab yeh sikka bazar mein tulta hai … toh kisi gareeb ke bhai ko kitaabein milti hai, college milta hai … aane waale sunhere kal ki umeedein milti hai

by Mithun Chakraborty
categorised in World & Universe
and also in Drama, Education, Money
——-

Zulm phir zulm hai … badta hai toh mitt jaata hai … khoon phir khoon hai … tapakta hai toh jam jaata hai

categorised in World & Universe
and also in Shayari
——-

Mohabbat ho ya jung … do hi cheezein jeeta sakti hai … ek rokda aur doosra danda

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Money, Victory & Success, War & Battle
——-

Iski laash ke itne tukde banenge … ki rone waala yeh bhi samajh nahi payega ki kis tukde ko pakadkar roye

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Action

In case there are some dialogues missed from the movie Shandaar (genre: ) from 1990, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *