Famous Dialogues from Movie – Sanam Re (2016)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Sanam Re released in year 2016

Hum kitne din jiye yeh zaroori nahi … hum un dino mein kitna jeeye yeh zaroori hai

by Pulkit Samrat
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Life
——-

Kabhi kabhi ek pal mein zindagi bhar ka pyar mil jaata hai … aur kabhi kabhi zindagi bhar dhoondo, ek pal ka pyar bhi nahi milta

by Pulkit Samrat
categorised in World & Universe
and also in Romance, Life
——-

Hum sainkadon janam lete hai … kabhi pati patni bankar, kabhi premi bankar, toh kabhi anjaane bankar … lekin milte zaroor hai aakhir mein … nahi milenge toh kahani khatam kaise hogi … isse pyar kehte hai

by Rishi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Drama, Romance
——-

Tumhe itni baar kho chuka hoon ki ab toh aankhen bhi band karne se darr lagta hai

by Pulkit Samrat
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Pyar woh safar hai joh meelon mein nahi … gehrai mein naapa jaata hai

by Yami Gautam
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Kuch galiyan, kuch ghar yaadon ki tarah hote hai … hum mein ek pal mein hi apne paas le aate hai

by Pulkit Samrat
categorised in World & Universe
and also in House
——-

Badhe sheharon mein shayad is liye itna shor hota hai … taaki koi apne dil ki awaaz na sun paye

by Pulkit Samrat
categorised in World & Universe
and also in City & Places
——-

Zaroori nahi har sawaal apne saath ek jawaab lekar aaye

by Yami Gautam
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Hum baar baar janam lete hai karne ke liye … achche karam

by Bharti Singh
categorised in World & Universe
and also in Adult, Comedy
——-

Har din, har raat tera khayal rehta hai … har waqt, har pal bas ek sawaal rehta hai … tum bin jiya jaye kaise, kaise jiya jaye tum bin … muskuraya tune joh taare bhi sharma gaye … dil ki dhadkan badh gayi toh hum bhi kuch ghabra gaye … aye hawa behki hawa chhuna usse tehzeeb se … mere pyar ka paighaam dena chupke chupke kareeb se

by Pulkit Samrat
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance
——-

Kuch logon se hum bewajah muskurakar milte hai … aur kuch logon se milkar hum bewajah hi muskura dete hai

by Pulkit Samrat
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Kuch log aise hote hai joh dil ke band darwaze par dastak dete rehte hai … aur kuch log aise joh band darwaza dekhkar khidki se andar aa jaate hai

by Pulkit Samrat
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Jab do insaan ek doosre ki rooh ko chhu le … usse pyar kehte hai

by Rishi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Zindagi mein aage badne ke liye kuch na kuch toh peeche chhodna hi padta hai

categorised in World & Universe
and also in Life
——-

Do tarah ke log hote hai … ek woh joh pehle kamate hai, baad mein party karte hai … aur doosre woh joh party karne ke baad, bill chukane ke liye gadhe jaisi mehnat karte hai

by Manoj Joshi
categorised in World & Universe
and also in Money, Comedy
——-

Hum mein hamesha sikhaya jaata hai jitna tezz daud loge utna aage nikal jaoge … par wahan khushi milegi ya nahi … yeh koi nahi batata

by Pulkit Samrat
categorised in World & Universe
and also in Happiness
——-

Apne ghar ko aabaad karna hai toh wahin rehna chahiye … kisi ke shehar chale jaane se shehar toh aabaad ho jayega … lekin apna ghar veeraan ho jayega

by Rishi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in House
——-

Jab tumhare haath mere haathon mein aate hai … toh pata hi nahi chalta ki kaunsi ungliyan tumhari hai aur kaunsi meri

by Pulkit Samrat
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Joh joh tumne apni mehnat se dhoonda hai aur himmat se paaya hai … asli maza ussi mein aaya hai

by Bharti Singh
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Courage
——-

Give pyar to find true yaar

by Bharti Singh
categorised in World & Universe
and also in Friendship

In case there are some dialogues missed from the movie Sanam Re (genre: Romance) from 2016, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *