Famous Dialogues from Movie – Sanam Bewafa (1991)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Sanam Bewafa released in year 1991

Anjaam unka wahi hoga joh tu chahta hai … lekin hoga vaise jaise hum chahte hai

by Pran
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Awaaz toh teri ek din main neechi karoonga … sher ki tarah garajne waala … billi ki zabaan bolega

by Pran
categorised in World & Universe
and also in Drama, Animals & Birds
——-

Ek baar aasman se giri hui bijliyan vapas laut sakti hai … toofan apna rukh badal sakta hai … lekin is Sher Khan ka faisla kabhi nahi badal sakta

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Weather, Drama
——-

Ek pahaad ka naam hai Sher Khan … aur pahaad na kisi ke samne chalkar jaate hai … na kisi ke samne jhukte hai

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Apne guroor ko zinda rakhne ke liye … hamari masoom mohabbat par apni dushmani ka aaisa koi kila mat bandiye … jiski buniyaad aapko khoon ki nadiyon par rakhni padhe

by Salman Khan
categorised in World & Universe
and also in Drama, Enemy
——-

Joh khoon peena jaante hai … woh aasoon bhi pee jaate hai

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Sadness, Drama
——-

Hamare dil mein chupe nafrat ke angaaron aur hawa na de … varna tu is aag mein jalkar raakh ho jayega

by Pran
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Sabse pehle apni akad aur apni zid ki jhadon ko aag laga … varna dukhon ke aaise badal mandrayenge … ke is ghar mein aasoonyon ke sailaab aa jayenge

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Drama, Sadness
——-

Talwaron se khelne waale motiyon se khelne lage … toh unki taqaton ko zung lag jaata hai

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Bandookon aur talwaaron se sirf insaanon ka khoon behta hai … faisle nahi hote

by Vijayendra Ghatge
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Beti ke rishtey kaanch ka khilona nahi hote … jinse dil bahel gaya aur todkar ghar ke bahar phek diya

by Pran
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Khoon bahane se rishtey tootte hai

by Dina Pathak
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Jab hamari tarah pachpan ke ho jaoge … toh aaisa bachpan ka sawaal nahi karoge

by Pran
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-

Duniya hum mein kehti hai Salman Khan … hum aapko kis naam se pukarein meri jaan?

by Salman Khan
categorised in World & Universe
and also in Comedy, Romance
——-

Sher Khan woh heera hai, joh gale se lag jaaye toh haar hai … aur gale se utar jaaye toh talwar hai

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Aan ke samne jaan ki keemat kuch bhi nahi

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Life, Drama
——-

Jis tarah reghistaan mein pyasa, ek ek boond pani ke liye tadap tadapkar apna dum todhta hai … ussi tarah Fateh Khan hamare inteqam se tadap tadapkar apni ek ek saans todega

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Drama, Action, Food & Drinks

In case there are some dialogues missed from the movie Sanam Bewafa (genre: ) from 1991, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *