Famous Dialogues from Movie – Roti (1974)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Roti released in year 1974

Insaan ko dil de, jism de, dimaag de lekin yeh kambakht pet mat de … usse pet deta hai toh usse bhook mat de … usse bhook deta hai toh do waqt ki roti ka intezam karke bhej … varna tujhe insaan ko paida karne ka koi haq nahi hai

by Rajesh Khanna
categorised in World & Universe
and also in Food & Drinks, Drama
——-

Aadmi ke seene mein khanjar bhokane se woh sirf ek baar marta hai … lekin jab kisi ka dil tootta hai na toh usse bar-bar marna padta hai, har roz marna padta hai

by Mumtaz
categorised in World & Universe
and also in Drama, Death
——-

Roti roti mein bhi farak hota hai mere dost … ek roti woh hoti hai joh cheenke khai jaati hai jis mein kisi ke khoon ki boo aati hai … lekin mujhe woh roti chahiye jis mein kisi ke khoon ki boo nahi, balki mere paseene ki mehak aati ho

by Rajesh Khanna
categorised in World & Universe
and also in Food & Drinks
——-

Kasoor mera nahi roti ki kasam … bhook ki duniya mein imaan badal jaate hai

by Rajesh Khanna
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Food & Drinks
——-

Agar is samaaj aur society se paap aur gunaah ko hamesha ke liye khatam karna hai … toh un shaitano ko khatam karna hoga joh chand sikkon ki khatir gareebon ki sharafat aur insaaniyat khareedkar unke dilon mein gunaah ka bheej bohte hai … paap ke saaye mein unki parvarish karte hai … logon ka khoon pilakar unhe badne par majboor karte hai

by Rajesh Khanna
categorised in World & Universe
and also in Crime, Money, Truth & Honesty
——-

Kaun ho tum? … Kahi naam hai mere … gareeb maa baap mujhe apna beta kehte hai, mazloom ladkiyan apna bhai … besahare yateemon ka dost hoon aur zalimon ka dushman

by Rajesh Khanna
categorised in World & Universe
and also in Parents, Friendship, Enemy

In case there are some dialogues missed from the movie Roti (genre: Romance) from 1974, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *