Famous Dialogues from Movie – Raaj Tilak (1984)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Raaj Tilak released in year 1984

Talwar woh hathyar hai joh dost ke haath mein ho toh usse badkar koi dost nahi … aur agar yahi talwar dushman ke haath lag jaye toh usse bura koi dushman nahi

by Raaj Kumar
categorised in World & Universe
and also in Friendship, Enemy
——-

Joh zanjeeron mein jakde hote hai woh hamesha gaddar nahi hote … aur joh oonchi kursiyon par behte hote hai woh hamesha wafaadar nahi hote

by Pran
categorised in World & Universe
and also in Lies & Cheating, Truth & Honesty
——-

Jinki ragon mein Rajputi khoon hota hai … unke jism par dushman ke diye hue ghaav toh hote hai … lekin unki talwar kafan ki tarah kori nahi hoti

by Ajit Khan
categorised in World & Universe
and also in Royal, Enemy
——-

Ek sacha musalman wafaa ke naam par jaan tak kurbaan kar deta hai … magar gaddari ka taj pehenkar jee nahi sakta … chahe us mein Kohinoor ka heera hi kyun na jada ho

by Raaj Kumar
categorised in World & Universe
and also in Religion & God
——-

Meri zindagi ek saaz ban gayi hai … aur iske har taar par sirf tumhare hi pyar ka geet gaya ja sakta hai

by Hema Malini
categorised in World & Universe
and also in Romance, Music, Life
——-

Mera dil us mandir ki tarah hai jis mein ek baar joh murti bitha di jaati hai … zindagi bhar ussi ki pooja ki jaati hai

by Kamal Hassan
categorised in World & Universe
and also in Romance, Religion & God
——-

Ujhde hue gulshan mein dekho aaj kaliyan khil gayi … ek ko chahte the hum aur do do mil gayi

by Kamal Hassan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Flowers & Trees
——-

Jisne mere bhai ka khoon bahaya hai … main usse uske khoon mein nehlake rakh doonga

by Dharmendra
categorised in World & Universe
and also in Action
——-

Aapke liye main zehar ko dhood ki tarah pee sakta hoon … lekin apne khoon mein aapke liye dushmani ke keeday nahi paal sakta

by Raaj Kumar
categorised in World & Universe
and also in Enemy, Food & Drinks
——-

Rajput ladki apne pyar ko keemti heeron ki tarah dil ki tijori mein band karke rakhti hai … aur upar laga rehta hai sharam ka fauladi taala … joh kabhi tootta hai toh sirf maut ke hathodon se tootta hai

by Hema Malini
categorised in World & Universe
and also in Drama, Romance, Death
——-

Sachai ki ek hi zaat hoti hai, ek hi nasal hoti hai … sachai darbar mein bhi wohi hoti hai, bazar mein bhi wohi hoti hai

by Hema Malini
categorised in World & Universe
and also in Truth & Honesty

In case there are some dialogues missed from the movie Raaj Tilak (genre: Action, Drama) from 1984, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *