Collection of some famous & popular dialogues from movie Pyaasa released in year 1957
Mujhe kisi insaan se koi shikayat nahi hai … mujhe shikayat hai samaaj ke us dhanche se joh insaan se uski insaaniyat cheen leta hai … matlab ke liye apne bhai ko beghana banata hai … dost ko dushman banata hai … mujhe shikayat hai us tehzeeb se, us sanskriti se jahan murdon ko puja jaata hai … aur zinda insaan ko pairon tale raunda jaata hai … jahan kisi ke dukh dard pe do aansoon bahana buzdili samjha jaata hai … chupke milna ek kamzori samjha jaata hai … aaise maahaul mein mujhe kabhi shanti nahi milegi, kabhi shanti nahi milegi
by Guru Dutt
categorised in World & Universe
and also in Drama, Inspiration
——-
Jab hum chale toh saaya bhi apna na saath de … jab tum chalo zameen chale, aasmaan chale … jab hum ruke toh saath ruke shaam-e-bekasi … jab tum ruko bahaar ruke, chandni ruke
by Guru Dutt
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance
——-
Garmi chahe mausam ki ho ya daulat ki … sirf gadhe hi magan rehte hai us mein
by Guru Dutt
categorised in World & Universe
and also in Weather, Money, Animals & Birds
——-
Zindagi ki asli khushi doosron ko khush rakhke haasil ki jaati hai
by Guru Dutt
categorised in World & Universe
and also in Happiness, Life, Inspiration
——-
Tang aa chuke hai kashmakash-e-zindagi se hum … thukra dein jahaan ko kahin bedili se hum … hum ghamzada hai laaye kahan se khushi ke geet … denge wohi joh paayenge is zindagi se hum … ubhrenge ek baar abhi dil ke valvale … maana ke dab gaye hai gham-e-zindagi se hum … lo aaj humne todh diya rishta-e-umeed … lo ab kabhi gilaa na karenge kisi se hum
by Guru Dutt
categorised in World & Universe
and also in Poem, Sadness, Life
——-
Gham is kadar badhe ke main ghabra ke pee gaya … is dil ki bebasi pe taras khake pee gaya … thukra raha tha mujhko badhi der se jahaan … main aaj sab jahaan ko thukra ke pee gaya
by Guru Dutt
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Sadness, World & Universe
In case there are some dialogues missed from the movie Pyaasa (genre: Culture, Drama) from 1957, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.
Leave a Reply