Collection of some famous & popular dialogues from movie Prem Granth released in year 1996
Tu is zameen ki cheez nahi, tu jaane kahan se aayi hai … tu is chaman ka phool nahi, tu kis gulistan se aayi hai
by Madhuri Dixit
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance, Flowers & Trees
——-
Bindi rakam ke aage lage toh rakam dus gunah badh jaati hai … aur ladki ke maathe pe lage toh uski khoobsurati hazar gunah badh jaati hai
by Rishi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Women, Money
——-
Paheliyon ke jawab aksar kisi agle pichle panne par likhe hote hai … zara dhyan se dekho toh mil hi jaate hai
by Himani Shivpuri
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-
Dharti par pedh ughe toh sab usse dharti maa kehke uski puja karte hai … tab yeh koi jaanne ki koshish nahi karta ki iska beej kahan se aaya … lekin aurat ke bache ko uske baap ke naam se hi jaana jaata hai is duniya mein
categorised in World & Universe
and also in Drama, Flowers & Trees, Parents
——-
Aayenda jab bhi koi mard kisi aurat ki izzat par haath dale … toh woh yaad rakhe ki woh apni mardani nahi dikha raha, balki atmahatya kar raha hai … kyun ki aaj ke baad zindagi mein jab kabhi, jahan kahin woh ladki us mard ko dekhegi … toh usse yeh haq hoga ki woh us kamine ko jaan se maar dale
by Madhuri Dixit
categorised in World & Universe
and also in Drama, Men, Women
——-
Aurat jaat toh tehri kath ki handi … ek baar chule pe chad gayi so chad gayi, phir nahi rehti kisi ke kaam ki
by Himani Shivpuri
categorised in World & Universe
and also in Women
——-
Bahut bada durbhagya hai is desh ka … jahan charitra aur naitikta jaise oonchi aur keemti cheezon ko insaan ke jism ke do inch ke hisse se naapa jaata hai … charitra toh mannsa, vaacha, karmana hota hai … jiska mann shudh ho, vichar shudh ho, ache bol bolta ho, ache kaam karta ho … wohi charitravan hota hai
by Shammi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Drama
In case there are some dialogues missed from the movie Prem Granth (genre: Culture, Romance) from 1996, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.
Leave a Reply