Famous Dialogues from Movie – Pardesi Babu (1998)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Pardesi Babu released in year 1998

Aapki nazaron mein paisa pyar aur bhagwan dono se bada hai … aap samajhte hai joh madhurta paison mein hai woh Sharda ke sitar mein, Vishnu ke shank mein nahi … aap samajhte hai joh sundarta paison mein hai woh Rati ki surat mein nahi, swarg ki jhanki mein nahi … paise mein joh pavitatra hai woh Ganga ke pani mein nahi, Savitri ke daman mein nahi … paise mein joh taqat hai woh maa ke aashirwad mein nahi, devtaon ke zubaan mein nahi … satya, shiv, sundar sab paisa hai … jiske paas paisa hai woh raja aur jiske paas paisa nahi woh Raju?

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Money, Religion & God, Drama
——-

Joh dil ke kareeb hote hai na … unke rang, roop aur mahek kabhi nahi jaate

by Shilpa Shetty
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Is sansar mein koi kisi ka malik nahi aur koi kisi ka naukar nahi … sabka malik ek hai woh upar waala … hum sab ussi ke naukar hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Religion & God, Inspiration
——-

Aankh ke andhe ko toh phir bhi thikana mil jaata hai … akal ke andhe ko koi thikana nahi milta

by Satish Kaushik
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Dil left mein hota hai magar hamesha right hota hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-

Woh is duniya se alag toh nahi … lekin unka pyar is duniya se alag hai

by Raveena Tandon
categorised in World & Universe
and also in Romance, World & Universe
——-

Agar hum mile toh hamara muqaddar … aur na mile toh hamari taqdeer

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Luck & Destiny, Drama
——-

Aapne insaan banaya achcha kiya, dil banaya bahut bura kiya … aapne duniya banayi achcha kiya, magar aapne paisa banaya bahut bura kiya

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Drama, Money, World & Universe
——-

Pyar chhal nahi … tyag hai, tapasya hai, pooja hai, prarthana hai, ibaadat hai, ardaas hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Romance, Drama
——-

Pyar karne waalon ko pyar khud apna falsafa batata hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Drama, Romance
——-

Pehle paisa insaan ke haath ki mail hua karta tha … aur aaj insaan ke haath mail mein paisa dhoondte hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Money, Drama
——-

Amiron ke gharon ki deewaron mein roshni aane ke liye bahut si khidkiyan hoti hai … magar gareeb ke ghar mein toh roshni tabhi aati hai … jab us bechare ke ghar ki deewar girti hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in House, Drama
——-

Har taj sarr ke liye hota hai … lekin har sarr taj ke liye nahi

by Rajeev Verma
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Oye guess kar … chawani doonga

by Satish Kaushik
categorised in World & Universe
and also in Comedy, Money
——-

Maine kisi devta ko nahi dekha … par tumhe dekh ke aaisa lagta hai ki woh tumse alag nahi hoga

by Avtar Gill
categorised in World & Universe
and also in Religion & God, Drama
——-

Oh tu rail gaddi vich paida hui thi? … jab dekho Rajdhani Express ki tarah bhaagti hui nazar aati hai

by Satish Kaushik
categorised in World & Universe
and also in Transportation, Comedy

In case there are some dialogues missed from the movie Pardesi Babu (genre: Action, Comedy, Drama) from 1998, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *