Famous Dialogues from Movie – Nagin (1976)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Nagin released in year 1976

Dil ke kuch taar aaise hote hai jinse woh khabaren bhi mil jaati hai … joh bheji nahi jaati

by Feroz Khan
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Nagin dushman ko maarne ke liye kabhi kabhi insaan ka roop dharan kar leti hai … lekin tumhare jaisa insaan ki shakal mein naag aaj tak pehda nahi hua

by Feroz Khan
categorised in World & Universe
and also in Enemy, Animals & Birds, Drama
——-

Pati patni ka rishta faulad se zyada mazboot hota hai … joh lakhon hathodon ke zor se bhi toda nahi ja sakta … aur kabhi kabhi ek phool se zyada nazuk hota hai … joh saans ki garmi se bhi ulaz-julaz jaye

by Sanjay Khan
categorised in World & Universe
and also in Husband & Wife, Flowers & Trees
——-

Yeh aankhen kisi aur ko dikhana … varna tumhare is chaupte se yeh do button nikalkar apne kurte mein fit kar doonga

by Ranjeet
categorised in World & Universe
and also in Rowdyism, Clothes & Shoes
——-

Nastik ko aastik banana uparwaale ka bayen haath ka khel hai

by Prem Nath
categorised in World & Universe
and also in Religion & God
——-

Shaadi ek yagya hota hai … jis mein aadmi ko sukh paane ke liye apne ahankar ki aahuti deni padti hai

by Sanjay Khan
categorised in World & Universe
and also in Marriage & Wedding, Happiness
——-

Mard do zaat ke hote hai … ek joh bewakoof pehda hote hai … doosre joh bewakoof banaye jaate hai

by Reena Roy
categorised in World & Universe
and also in Men, Comedy
——-

Maika ladki ke liye ek sarai jaisa hota hai … jahan aadmi raat bhar aaram toh kar sakta hai … lekin zindagi bhar ka thikana nahi kar sakta

by Sanjay Khan
categorised in World & Universe
and also in House, Women, Life
——-

Aankhon hi aankhon mein ishaare ho gaye … hum tumhare aur tum hamare ho gaye

by Sanjay Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance
——-

Dharam ki aag se dil ke chirag jalte hai … bhatakne waale issi roshni mein jalte hai

categorised in World & Universe
and also in Shayari, Religion & God
——-

Duniya mein sabse buri aag badle ki aag hoti hai … chahe woh kisi insaan mein ho ya janwar mein

by Reena Roy
categorised in World & Universe
and also in Revenge, Animals & Birds
——-

Nagin ka nasha sharaab aur aurat ke nashe se zyada hota hai

by Reena Roy
categorised in World & Universe
and also in Women, Food & Drinks
——-

Bhagyawan wohi hoti hai joh do kandhon pe savaar apne babul ke ghar se jaati hai … aur char kandhon pe savaar apne dulha ke ghar se nikalti hai

by Sanjay Khan
categorised in World & Universe
and also in Women, House, Drama

In case there are some dialogues missed from the movie Nagin (genre: ) from 1976, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *