Famous Dialogues from Movie – Mohabbatein (2000)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Mohabbatein released in year 2000

Duniya mein kitni hai nafratein … phir bhi dilon mein hai chahatein … mar bhi jaaye pyar waale … mitt bhi jaaye yaar waale … zinda rehti unki mohabbatein

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance
——-

Main aaj bhi usse utni hi mohabbat karta hoon … aur is liye nahi ki koi aur nahi mili … par is liye ki usse mohabbat karne se fursat hi nahi milti

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Mohabbat bhi zindagi ki tarah hoti hai … har mod aasaan nahi hota, har mod par khushi nahi hoti … par jab hum zindagi ka saath nahi chhodte … phir mohabbat ka saath kyun chhodein

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Romance, Life
——-

Mohabbat mein shartein nahi hoti … toh afsoos bhi nahi hona chahiye

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Maine aaj tak sirf ek hi ladki se mohabbat ki hai … aur zindagi bhar sirf us hi se karta rahoonga

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Koi pyar kare toh tumse kare, tum jaise ho waise kare … koi tumko badal ke pyar kare, toh woh pyar nahi woh sauda kare … aur saheba, pyar mein sauda nahi hota … right?

by Kim Sharma
categorised in World & Universe
and also in Romance, Poem
——-

Aap zindagi ki har jung jeette chale aaye … par zindagi ke saare sahare haarte chale gaye

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Life, Victory & Success, Defeat & Failure
——-

Jab choti choti baaton mein hum haste the rote the, tabse tumse pyar kiya hai … jab bin mausam barsaaton mein hum jhoom jhoom ke gaate the, tabse tumse pyar kiya hai … jab chup chupke aadhi raaton mein chatt pe taare ginte the, tabse tumse pyar kiya hai … ab toh khud bhi bhool chuka hoon main ki kabse tumse pyar kiya hai … bas itna hi keh sakta hoon main … ki sirf tumse, tum hi se pyar kiya hai

by Jugal Hansraj
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance, Weather
——-

Mohabbat bahut khoobsurat hoti hai … toh kya hua agar woh apne saath thoda sa dard laati hai

by Aishwarya Rai
categorised in World & Universe
and also in Romance, Drama
——-

Main yahan par surya ki roshni itni tezz kar doonga … ki woh aadmi joh pachaas saalon se surya ko ghoorta aa raha hai … us he bhi apni palkein jhukani hogi

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Drama, World & Universe
——-

Duniya mein kitni hai nafratein … phir bhi dilon mein hai chahatein … jao kehdo is jahan se, is zameen se, aasman se … rok na sakenge ab yeh mohabbatein

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance, World & Universe
——-

Har badi kamyaabi ke peeche … ek bahut bada balidaan hota hai

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Victory & Success, Drama
——-

Mohabbat aur sangeet ka bahut gehra rishta hai … kyun ki dono ka janam dil se hota hai … aur dono ki kismat bhi dil ke kehne par nirbhar hai

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Romance, Music, Drama
——-

Main har din dua karta hoon ki mujh jaisi kismat kisi ki bhi na ho

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Luck & Destiny, Drama
——-

Kuch rishton ki taqdeer sirf dosti tak hi likhi hoti hai

by Jugal Hansraj
categorised in World & Universe
and also in Friendship, Drama
——-

Izzat darr se nahi … mohabbat se jeeti jaati hai

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Zindagi pyar dene aur pyar lene ka naam hai … aur kuch nahi

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Life, Romance

In case there are some dialogues missed from the movie Mohabbatein (genre: Drama, Musical, Romance) from 2000, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *