Famous Dialogues from Movie – Khuddar (1994)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Khuddar released in year 1994

Kuch parinde aaise bhi hote hai joh halaat ke pinjre mein qaid toh hote hai magar majboor nahi hote … unki baazuon mein itni taqat hoti hai ki woh pinjra samet udh jaate hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Animals & Birds, Drama
——-

Jab dus kamine marte hai toh ek kutta pehda hota hai … jab sau kutte marte hai toh ek soovar pehda hota hai … aur jab ek hazaar soovar marte hai toh ek bhadwa pehda hota hai … aur jab ek lakh bhadwe marte hai tab tujh jaisa ek ganda neta pehda hota hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Animals & Birds, Politics
——-

Duty ek aaisi cheez hai joh kabhi kabhi rote huye bhi nibhani padti hai

by Shreeram Lagoo
categorised in World & Universe
and also in Job & Career, Drama
——-

Kathin pariksha mein pass ho jaana meri buri aadat hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Education, Comedy
——-

Yeh bhashan nahi yeh meri warning hai … aur meri warning tumhare is cigarette case ke upar likhi hui warning ki tarah nahi … jisse tum bhoolkar cigarette ke kash lagaya karte ho … meri warning kanoon ke kitaab ke us full stop ki tarah hai … jiske baad kuch bhi karne ya sochne ki jagah nahi bachti

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Drama, Law & Order
——-

Vidyarthi woh hote hai joh vidya ka arth nikaalte hai … magar aap log toh vidya ki arthi nikaal rahe hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Comedy, Education
——-

Joh imaandaron se gaddari karega … woh gaddaron se imaandari karega

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Truth & Honesty, Lies & Cheating
——-

Main tumhare jism ko vardi ki jagah zakhmon ka libaaz pehna doonga … aur phir tum dard se itna tadpoge ke uske baad maut ko bhi chakhoge toh yahi kahoge ke … maaza nahi aaya

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Action, Clothes & Shoes, Death
——-

Joh log waqt ke dhaare mein kagaz ki naav ki tarah beh jaate hai … unhe ek mamuli si lehar bhi dooba deti hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Time, Drama
——-

Woh shaadi hi kya teri dawat nahi jis mein … aur woh aag hi kya teri soorat nahi jis mein

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Marriage & Wedding, Shayari, Romance
——-

Jab logon ki bahaduri baanjh ho jaati hai … tabhi Kapali jaise gunde pehda hote hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Courage
——-

Tum meri zindagi mein full stop toh kya comma bhi nahi laga sake … lekin main tumhari zindagi mein full stop zaroor lagaonga

by Shakti Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Life, Drama
——-

Zaat duniya mein sirf do tarah ki hoti hai … ek woh joh aasoon peeta hai, ek woh joh khoon peeta hai … ek woh joh insaaniyat ko aabad karta hai, ek woh joh insaaniyat ko barbaad karta hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Drama, World & Universe
——-

Mere nasson mein khoon ke saath saath barood bhi behta hai … aur aaj tujhe is barood ke dhamake bhi sunne padenge

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Action
——-

Tum ghadi ki keemat toh jaante ho … magar waqt ki keemat nahi jaante

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Time
——-

Agar tu ghar mein chupa raha toh chuhe ki maut maara jayega … aur agar bahar nikal aaya toh geedar ki maut … bol tujhe kaunsi maut chahiye?

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Action, Death, Animals & Birds
——-

Aadmi ke paas jis prakaar ka astra shastra ho … ussi prakaar ka yudh ladna chahiye … tabhi usko safalta milti hai

by Rami Reddy
categorised in World & Universe
and also in War & Battle, Victory & Success, Action
——-

Chola aur kursi badal jaane se aadmi ki janam kundli nahi badalti

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Clothes & Shoes, Drama
——-

Main nafrat ke mohron se dushmani ka shatranj ussi ki bisaat pe khelonga … aur aaisi maat doonga, aaisi maat doonga ki maut bhi roo padegi

by Shakti Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Enemy, Sports & Games, Death
——-

Agar aap log yeh chahte hai … ki aap logon ki khuddi ko mittane ke liye agar gundon ki khudai bhi aa jaye aur mitta na sake … toh aap logon ko khuddar banna padega

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Drama
——-

Jab shehar ki taqdeer harami ho jaati hai … tab Kapali jaisa ek haramzada pehda hota hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Luck & Destiny, City & Places, Drama
——-

Imaandari woh ganja sar hai jispar noton ke baal kabhi ugh hi nahi sakte … thodi si baimaani ki tel ki malish karte rehna chahiye

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Truth & Honesty, Lies & Cheating, Money
——-

Gundon ka rakhail kabhi gareebon ka rakhwaala nahi ban sakta

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Har woh kadam joh kanoon todne ke liye aage badega … main usse apahij kar doonga

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Law & Order, Action
——-

Tumhe is baat ka koi haq na pahunchta ki police ki farz ki Ganga joh ki kanoon ki Gangotri se nikalti hai … usse tum apni gandi aadaton ke gutter mein dal do

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Police, Law & Order, Drama
——-

Log toh sirf rupaiya aur izzat par daaka dalte hai … magar tumne hamare vishvas par daaka daala hai

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Drama, Money

In case there are some dialogues missed from the movie Khuddar (genre: Action) from 1994, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *