Famous Dialogues from Movie – Jaanwar (1999)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Jaanwar released in year 1999

Hum gareebon ke paas ek hi chaddar hoti hai … joh aankh khuli rehne tak oodhi jaati hai … aankh bandh ho jaane ke baad us hi ka kafan bana diya jaata hai

by Akshay Kumar
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Gareebi se bada is duniya mein koi shraap nahi hai … aur bhook se bada koi dukh nahi

by Karisma Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Itne barson ke baad aaj tu mujhe mila … khush hone ke bajaye seedhe aag ughalne laga

by Shakti Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Happiness
——-

Jurm ki duniya mein aane ke anginat raaste hai … lekin yahan se bahar jaane ka koi raasta nahi hai

by Shakti Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Crime
——-

Ek shareef aadmi doosre shareef aadmi ko bhool sakta hai … lekin ek gunehgar doosre gunehgar ko nahi bhoolta

by Ashutosh Rana
categorised in World & Universe
and also in Thief & Criminal
——-

Chaaron aur kudrat ka phaila kaisa yeh andhera hai … maut ka taandav hai, gidhon ka dhera hai … na pedhon ki chaanv hai, na kahin basera hai … is bhayanak baat ka nahi koi savera hai … maut ke khel se bachne bhaag rahe hai yeh log … is hi dharti se judhe the, kyun bhool rahe hai yeh log … dukh, peedha aur chaaron aur nirasha hai … na jeene ki aur na jeevan ki asha hai … kahin bhi duniya mein na padhe dharti par sookha … insaan sab kuch seh sakta hai, par nahi reh sakta bhookha

categorised in World & Universe
and also in Poem, Death, World & Universe
——-

Zindabad, murdabad … Hyderabad, Ahmedabad … aaise mein yeh gareeb toh ho jaaye na barbaad

by Johnny Lever
categorised in World & Universe
and also in Comedy, City & Places

In case there are some dialogues missed from the movie Jaanwar (genre: Drama) from 1999, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *