Famous Dialogues from Movie – Hindustan Ki Kasam (1999)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Hindustan Ki Kasam released in year 1999

Roshanara beti hai ek Musalman ki … jisse pehchaan hai apne imaan ki … pyar toh kya jaan tak loota doongi … mujhe kasam hai apne Hindustan ki

by Manisha Koirala
categorised in World & Universe
and also in Patriotism, Religion & God, Life
——-

Woh khudgarz joh jung chahte hai unka kuch nahi jaata … tabah toh woh log hote hai … jinki subah roti ki talash mein shuru hoti hai aur raat thakaan ke bistar par

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in War & Battle, Inspiration, Food & Drinks
——-

Woh toh meri saanson mein hai, meri dhadkanon mein hai, meri aankhon mein hai, mere khwabon mein hai … sach toh yeh hai ke mera dil unke paas hai aur unka dil mere paas

by Sushmita Sen
categorised in World & Universe
and also in Romance, Dreams, Truth & Honesty
——-

Hamare liye sona hai hamare kheton mein leharti faslein … apne bachche ke liye ek maa ki chaati mein umarti hui mamta … bhai ke kalai ke liye ek behen ke rakhi ka pyar … ek patni ke liye uski maang mein damakta sindoor … pyar, mohabbat aur rishton ka yeh sona kabhi dokha nahi de sakta … is liye Bharat sone ki chidiya tha, hai aur hamesha rahega

by Sushmita Sen
categorised in World & Universe
and also in Patriotism, Inspiration
——-

Maut ka sadma toh insaan bardasht kar leta hai … lekin jab koi apna kho jaata hai toh usse paane ki tadap ko bardasht nahi kar paata

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Death, Drama

In case there are some dialogues missed from the movie Hindustan Ki Kasam (genre: Patriotic, Action) from 1999, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *