Tumhare aur hamare beech sirf ek hi cheez ka batwara ho sakta hai … aur woh hai tumhare hisse ki maut
by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Death
——-
Baap ke kandhe ke barabar jab bete ka kandha ho jaata hai … toh woh baap ki zimmedari aur jawabdari dono ka bhoj uthane ke kabil ho jaata hai
by Anil Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Parents
——-
Hamare raston par charon taraf petrol hi petrol bicha hua hai … kaun, kab mauke ka fayda uthakar uspar jalti hui maachis uchaal de … aur kis modh par hamari zindagi ka safar khatam ho jaye … yeh hum bhi nahi jaante
by Pran
categorised in World & Universe
and also in Action
——-
Kal yeh inaam dekh sari duniya baimaan ho jayegi … toh harjai ko yakeen hai, kal sari khudai be-imaan ho jayegi
by Harish Patel
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Lies & Cheating
——-
Tu toh meri umeedon ka junction hai … dil se dil ka relation hai, connection hai, attraction hai, action hai, reaction hai … yane ki tu meri mohabbat ka main station hai
by Rishi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Romance, Comedy
——-
Shaq ka kaante bahut zeharilay hote hai … joh do dilon ke beech dooriyan bhi pehda kar dete hai aur dushmani bhi
by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Drama, Enemy
——-
Pehankar police ki yeh vardi hum ghalib tamasha-e-ahle-karam dekhte hai … chaman ko ujhadte kahi baar dekha, par aaj is club ka hashar dekhte hai
by Harish Patel
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Flowers & Trees, Comedy
——-
Baimaani ke dhande mein imaandari se kaam nahi karne waalon ka anjaam bahut bhayanak hota hai
by Kiran Kumar
categorised in World & Universe
and also in Truth & Honesty, Lies & Cheating
——-
Bambai mein kaam kam hota hai hartaalein zyada hoti hai … kabhi taxi waalon ki hartaal, kabhi bus waalon ki hartaal, kabhi mill waalon ki hartaal … aur kabhi hartaal ka kaaran na milne par hartaal ko practice karne ki hartaal
by Asrani
categorised in World & Universe
and also in Comedy, City & Places, Transportation
In case there are some dialogues missed from the movie Gurudev (genre: Romance) from 1993, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.
Leave a Reply