Famous Dialogues from Movie – Ghar Sansar (1986)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Ghar Sansar released in year 1986

Is sansar mein bheek le lo magar udhaar kabhi mat lo … kyun ki bheek leke aadmi ek baar zaleel hota hai … magar udhaar maangke subah shyam zaleel hota hai

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Money
——-

Joh bhi kaam mile usse kar lena chahiye … kaam koi chota nahi hota … chota hota hai aadmi, uska dil, uski kartoot

by Bharat Bhushan
categorised in World & Universe
and also in Job & Career, Inspiration
——-

Aksar desi aankhon par videshi chasma lagane se … dimaag mein charbi chad jaati hai

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-

Haath woh kalam hai joh aakash ke kagaz pe likhi hui taqdeer ko badal sakta hai

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Luck & Destiny
——-

Badi tedhi hai yeh duniya … yahan haqdaar ko bhi apna haq bheek ki tarah maangna padta hai … anpad naukri maangne jaye toh usse degree lane ke liye kehte hai … degree lekar jaye toh waseela lane ke liye kehte hai … aur waseelay ke liye kisi ke paas jaye toh rishvat maangte hai

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Job & Career, Education
——-

Ghatiya sawaal poochna bahut aasaan hai … lekin unka jawaab dena bahut mushkil … joh tum jaisa ghatiya aadmi bhi nahi de sakta

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-

Main woh khota sikka hoon … joh dikhne mein toh ek anni hai lekin chalne mein rupaiya hai

by Rajesh Puri
categorised in World & Universe
and also in Money, Comedy
——-

Daulat waalon ki duniya mein baimaani ka daakhla band hai … baimaani agar aati hai toh noton ka naqab audkar imaandari ban jaati hai

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Lies & Cheating, Truth & Honesty, Money
——-

Bhookha rehkar aadmi ek baar marta hai … lekin udhaar ki roti khakar baar baar marta hai … hazaar baar marta hai

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Drama, Food & Drinks
——-

Jab tab ungli tedhi na karo, dibbe mein se ghee nahi nikalta … aur jab tak tedha rasta na pakdo, bhigda hua sahi raste par nahi aata

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Food & Drinks, Comedy
——-

Jis ghar sansar ki gaadi udhaar ke paiyon pe chalti hai … woh subah shyam puncture hoti chali jaati hai

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in House
——-

Badhon ke mooh se nikli hui gaaliyan … choton ko dua bankar lagti hai … joh badhon ki daant kha leta hai … woh zindagi ki thokarein nahi khata

by Sridevi
categorised in World & Universe
and also in Drama, Life

In case there are some dialogues missed from the movie Ghar Sansar (genre: Family, Crime, Drama) from 1986, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *