Famous Dialogues from Movie – Farz Aur Kanoon (1982)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Farz Aur Kanoon released in year 1982

Main jitni muddat tak jail mein rahoonga … apne dil mein nafrat ka zehar ikhatta karta rahoonga … aur jab jail se chootunga toh us zehar se tumhare poore khandan ko jalakar khaakh kar doonga

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Revenge
——-

Is duniya mein izzat ki nahi, balki daulat ki zaroorat hoti hai … aur daulat jiske paas hoti hai, izzat khud-ba-khud aakar uski chaukhat pe apna sar jhuka deti hai

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Money
——-

Yeh rishtey toh pehda hone se pehle hi uparwaala muqadar ki kitaab mein likh deta hai … us likhai ko badalna hamare bas ki baat nahi hai

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Luck & Destiny, Religion & God
——-

Sher ke mooh ko jab insaan ka khoon lag jaata hai … tab usse kisi aur janwar ke shikaar mein mazaa hi nahi aata hai … issi tarah ek baar jurm ki kamai khoon mein utar jaaye … toh halaal ki kamai khane mein mazaa hi nahi aata hai

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Animals & Birds, Crime, Truth & Honesty
——-

Apne aadmiyon se kaho ke bandookein phenk de … nahi toh goli chalegi Naagraj … aur teri khopdi mein itna bada suraag ban jayega … jiske andar naag apna bil banayega

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Action, Animals & Birds
——-

Duniya mein sirf ek hi sambandh hai … pati patni ka sambandh, joh jeete jee toot nahi sakta … baki saare rishtey toh aasmaan mein badalon ki tarah hote hai … joh hawa ek jhaunke se toot jaate hai

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Husband & Wife, Drama
——-

Kaun ho tum? … Zulm ke andhere mein kanoon ki roshni ko jalakar … masoomon ko zindagi dekar … zaalimon ko maut ki neend sulaane waala … inspector Ranjit Kumar

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Police, Law & Order, Death
——-

Suraj raat ko nikal sakta hai … farishtey jhooth bol sakte hai … chaand aag barsa sakta hai … magar Ranjit Kumar apne desh ko, apne kanoon ko dokha de … yeh kabhi nahi ho sakta, kabhi nahi ho sakta

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Law & Order, Patriotism
——-

Dukh aur sukh ki tarah galatiyan bhi aadmi ke muqadar mein likhi hoti hai … galatiyan karke joh pachtata hai wohi insaan kehlata hai

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Luck & Destiny, Sadness, Happiness
——-

Bachpan mein baap ke kahe huye kadve shabd … aane waali zindagi mein shakkar ghol dete hai

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Parents
——-

Main daulat ke maidaan mein gareeb zaroor hoon … lekin imaandari aur sharafat ke maindaan mein bahut zyada amir hoon

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Money, Truth & Honesty
——-

Jiski zaroorat ho usse gale laga lo … aur jiski zaroorat nahi hai uska gala kaat dalo

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Rowdyism

In case there are some dialogues missed from the movie Farz Aur Kanoon (genre: ) from 1982, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *