Famous Dialogues from Movie – Do Ankhen Barah Hath (1997)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Do Ankhen Barah Hath released in year 1997

Naag bola main bada main bada … Shiv Shankar ke gale mein pada … bakht bola tu kaise bada … tere phan pe toh Kanhaiya khada

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Religion & God, Animals & Birds
——-

Main har daur mein har nasal ke kaatil dekhe … main mohabbat hoon meri umar badi hai yaaron

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Drama, Life
——-

Maa bachche ko janam deti hai, paalti hai, posti hai … lekin bachcha maa ke nahi, baap ke naam se jana jaata hai

by Aruna Irani
categorised in World & Universe
and also in Parents, Drama
——-

Pedh chahe babool ka ho ya chandan ka … kulhadi sabko kaatti hai

by Sadashiv Amrapurkar
categorised in World & Universe
and also in Flowers & Trees, Drama
——-

Ravan bola main bada main bada main bada … Navagraha mere singhasan ke neeche pada … bakht bola tu kaika bada … tu toh che mahina Bali ki kankh mein pada

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Royal, Comedy
——-

Parbat bola main bada main bada main bada … sar ooncha kiye sarhad par khada … bakht bola tu kaise bada … tere shikhar par toh bhagwan Shankar khada

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Religion & God
——-

Heera banne se toh behtar hai ki patthar banoo … tarasha jaonga toh devta kehlaonga

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Tu bola main bada main bada main bada … sara shehar mere lafde mein pada … main poochon tu kaika bada … tu toh ladki dene ke liye mere peeche pada

by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Comedy
——-

Rishtey mein hum tumhare baap ke baap lagte hai … aur naam hai Dadashah

by Johnny Lever
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-

Ghar se niklo toh jeb mein pata rakhke niklo … haath se chehre ki pehchaan mitta dete hai

by Kiran Kumar
categorised in World & Universe
and also in Action, House, Drama
——-

Yeh police station hai … yahan mujrim nahi, kanoon bolta hai

categorised in World & Universe
and also in Law & Order, Thief & Criminal, Police
——-

Ek aurat ko janam se lekar maut tak doosron ke faislon pe jeena padta hai

by Aruna Irani
categorised in World & Universe
and also in Women, Death, Drama

In case there are some dialogues missed from the movie Do Ankhen Barah Hath (genre: ) from 1997, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *