Famous Dialogues from Movie – Dahek (1999)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Dahek released in year 1999

Zindagi achche burre tajurbon ka silsila hai … burre ko toh bhool jaana chahiye aur achche ko seene se lagake rakhna chahiye

by Achala Sachdev
categorised in World & Universe
and also in Life, Inspiration
——-

Jab mohabbat ki aag dahek uthti hai na toh woh mandir aur masjid ki taraf nahi dekhta hai … un aankhon mein sirf dekhta hai jinhe woh pyar karta hai

by Akshaye Khanna
categorised in World & Universe
and also in Religion & God, Romance, Drama
——-

Jahan jahan hum mohabbat karne waalon ka khoon girega … hazaron deewane pehda honge

by Akshaye Khanna
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Dharam aadmi ko khuda se aur aadmi ko aadmi se jodhta hai

categorised in World & Universe
and also in Religion & God
——-

Tumko kya malum Shabnam guzarti kaisi hai meri raatein … teri tasveer aankhon mein basaye bhatakta rehta hoon, karta hoon bas tumhari baatein … tum shama ho Shabnam aur Manzoor parwana … tumse lipatkar jalne ko tayaar hai deewana

by Sonali Bendre
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance
——-

Aag lagane ke liye sirf ek maachis ki teeli bahut hoti hai … magar usse bhujane ke liye shehar ka saara pani bhi kam padh jaata hai

categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Koi bhi baat agar zor zabardasti se manvayi jaye … chahe woh mazhab ke baare mein ho, apne aqeeday, apne imaan ke baare mein ho … ya phir apne usoolon ke baare mein ho … uska asar zyada der nahi rehta aur nateeja tabahi hi hota hai

categorised in World & Universe
and also in Drama, Religion & God

In case there are some dialogues missed from the movie Dahek (genre: Drama) from 1999, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *