Famous Dialogues from Movie – Chauraha (1994)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Chauraha released in year 1994

Main jis file ko kholta hoon na … woh mujrim ko jail mein bandh karne ke baad hi bandh karta hoon

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Thief & Criminal
——-

Bure waqt se badi khatarnak koi cheez nahi hai is duniya mein

by Jackie Shroff
categorised in World & Universe
and also in Time
——-

Main bhi kitna harami hoon, dono taraf dhol bajhata hoon … udhar se maal kamata hoon, idhar se naam kamata hoon

by Shakti Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Money, Comedy
——-

Yahan ki fikar wahan ka khayal rakha hai … badi ada se dono jahan sambhal rakha hai

by Shakti Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Shayari
——-

Raajneeti ke mandi mein joh sabse sasti cheez bikti hai … woh hai police

by Jackie Shroff
categorised in World & Universe
and also in Police, Politics
——-

Aankh ka andha toh laathi ka sahara lekar tedhe-medhe raaston par bhi chal sakta hai … lekin akal ka andha seedhe raaste par bhi thokar ka jaata hai

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Kagaz phadne se likhai mitt sakti hai lekin sachai nahi

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Truth & Honesty
——-

Hum hai police ki naak ke baal, insaaf ki dhaal, havaldar Bankelal … chal do rupai nikaal

by Shakti Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Comedy, Police, Money
——-

Gunahghar us waqt tak mashoor rehta hai jab tak police dheel deti hai … lekin jab police kanoon ki rassi kheenchti hai toh bade bade mujrimon ke gale mein phasi ka phanda hota hai

by Jeetendra
categorised in World & Universe
and also in Thief & Criminal, Police, Law & Order
——-

Doobara is basti mein Baba Bhatti jab aayega toh zulm ki woh haddi bankar aayega … joh tumhare gale mein aaise phasegi … ki na tum usse nighal sakoge, na tum usse ughal sakoge

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Rowdyism
——-

Pachees se tees baras tak ki umar ka pyar … pukhta, sanjeeda, kisi bade maidan ke seene par behte hue dariya ki tarah gambhir aur shaant hota hai … aur bees se ekkees ki umar mein … kisi oonchi pahadi se girta hua apsar ki tarah gungunata hua, athkeliyan sa karta hua … aur pandra se solah ki umar mein … paakh, bechain, apne ird-gird ki har cheez se laparwah … bilkul aapki tarah

by Jackie Shroff
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Meri fitrat hai goongo se bulvana, bhairon ko sunane ke liye majboor kar dena aur jhooton ki zubaan se sach ughalvana

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Rowdyism, Truth & Honesty, Lies & Cheating
——-

Jab hum pehda hue the toh raat ke barah bajhe the … aur raat ke barah bajhe sirf shaitan pehda hua karte hai

by Danny Denzongpa
categorised in World & Universe
and also in Time, Rowdyism

In case there are some dialogues missed from the movie Chauraha (genre: ) from 1994, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *