Famous Dialogues from Movie – Chak De India (2007)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Chak De India released in year 2007

Injury hai, jaate jaate jayegi

categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-

Mujhe states ke naam na sunai dete hai na dikhai dete hai … sirf ek mulk ka naam sunai deta hai I-N-D-I-A

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Patriotism, Inspiration
——-

Vaar karna hai toh samne waale ke goal par nahi … samnewaale ke dimag par karo … goal khud-ba-khud ho jayega

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Sports & Games, Inspiration
——-

Sattar minute, sattar minute hai tumhare paas … shayad tumhari zindagi ke sabse khaas sattar minute … aaj tum achcha khelo ya bura, yeh sattar minute tumhe zindagi bhar yaad rahenge … toh kaise khelna hai aaj main tumhe nahi bataonga … bas itna kahoonga ke jao aur yeh sattar minute jee bharkar khel lo … kyun ki iske baad aane waali zindagi mein, chahe kuch sahi ho ya na ho, chahe kuch rahe ya na rahe, tum haaro ya jeeto … lekin yeh sattar minute tumse koi nahi cheen sakta, koi nahi … toh maine socha ki is match mein kaise khelna hai aaj main tumhe nahi bataonga, balki tum mujhe bataoge khel kar … kyun ki main jaanta hoon ki agar yeh sattar minute is team ka har player apni zindagi ki sabse badiya hockey khel gaya … toh yeh sattar minute khuda bhi tumse vapas nahi maang sakta … toh jao, jao aur apne aap se, is zindagi se, apne khuda se aur har us insaan se jisne tumhe tum par bharosa nahi kiya apne sattar minute cheen lo

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Sports & Games, Inspiration
——-

Jo nahin ho sakt … wahi tho karna hai

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Drama
——-

Pehli baar kisi gore ko India ka tiranga leharate hue dekh raha hoon

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Patriotism
——-

Maine kaha tha na, team banane ke liye taakat nahi … niyat chahiye

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Sports & Games, Inspiration
——-

Peeche se nahi mardo ki tarah aage se ladoo … woh kya hai, hamari hockey mein chakke nahi hote

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Action, Sports & Games
——-

Ek galati toh sabko maaf hoti hai … sabko?

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Har team mein sirf ek hi gunda ho saktha hai … aur is team ka gunda mein hoon

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Sports & Games
——-

Is team ko sirf woh players chaiye jo pehle India ke liye khel rahe hain, India … phir apni team mein apne saathiyon ke liye … aur uske baad bhi agar thodi bahut jaan bach jaye toh apne liye … state government ki naukri ya railway flat ke liye nahin

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Sports & Games, Patriotism, Inspiration
——-

Chaandi ko sone mein badalne ki koshish kar raha hoon

by Shahrukh Khan
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Marr ke aayenge … lekin haar ke nahi aayenge

by Shilpa Shukla
categorised in World & Universe
and also in Sports & Games, Death, Defeat & Failure
——-

Apne hi desh mein mehmaan bankar koi khush kaise ho sakta hai

categorised in World & Universe
and also in Patriotism, Sadness, Guest
——-

Hindustani womens hockey na kuch kar payee hai … na kuch kar payengi

categorised in World & Universe
and also in Sports & Games, Women

In case there are some dialogues missed from the movie Chak De India (genre: ) from 2007, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *