Famous Dialogues from Movie – Bemisal (1982)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Bemisal released in year 1982

Ek amir jab marta hai toh peeche sukh chain chhodkar jaata hai … lekin ek gareeb jab marta hai toh dukh dard chhodkar jaata hai

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Happiness, Sadness, Drama
——-

Paise se Mercedes khareedi ja sakti hai, makaan khareeda ja sakta hai, nursing home khareeda ja sakta hai … zindagi ka har ek aaram khareeda ja sakta hai … lekin dil nahi khareeda ja sakta hai

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Money, Transportation, House
——-

Joh zindagi bhar doondha, woh paaya nahi … aur joh paaya, usse chaha nahi

categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Maante hai hum, hum gunehgaar hai … sar jhukaye hai hum, aap sarkar hai … apni baahon mein chupa lijiye humko … sirf itni sazaa ke talabgar hai

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Poem, Romance
——-

Samay woh pal hai jis mein ek ajnabi se modh par … udhar se aata ajnabi, idhar se aate ajnabi ko dekhkar ruk jaye … aur sochne lage ki hum kabhi na kabhi, kahin na kahin pehle bhi mil chuke hai

by Vinod Mehra
categorised in World & Universe
and also in Time
——-

Hamare mulk mein ek aadmi ko dus rupaiya ko gyarah rupaiya banane mein zindagi khap jaati hai … lekin dus lakh ko gyarah lakh banana baayen haath ka khel hai

by Vinod Mehra
categorised in World & Universe
and also in Money
——-

Zindagi badi ajeeb cheez hai … kabhi kabhi kisi se pehli bar milne par aaisa lagta hai, na jaane kitne dino se jaan pehchan hai … aur koi koi aaise bhi hote hai joh sari zindagi ek saath rehne par bhi anjaane lagte hai

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Life, Drama

In case there are some dialogues missed from the movie Bemisal (genre: Drama, Family) from 1982, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *