Famous Dialogues from Movie – Bandhan Kuchchey Dhaagon Ka (1983)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Bandhan Kuchchey Dhaagon Ka released in year 1983

Zindagi ke meethe sur jhoot ke taaron se nahi … vishvas ke saaz se nikalte hai

by Rakhee Gulzar
categorised in World & Universe
and also in Music, Life, Lies & Cheating
——-

Dost agar dosti mein dosti ka interest 100% na le … toh dosti nahi rehti

by Zeenat Aman
categorised in World & Universe
and also in Friendship
——-

Adhoore sapne chubte bahut hai … bahut teekhi hoti hai unki chuban

by Zeenat Aman
categorised in World & Universe
and also in Dreams
——-

Samundar tabhi tak samundar hai jab tak woh khamosh rehta hai … aur jab uski khamoshi tootti hai toh woh toofan ban jaata hai

by Prem Chopra
categorised in World & Universe
and also in Weather
——-

Har din ki kismat mein aftab nahi hota … lekin phir bhi har din zindagi ka ek naya daur shuru hota hai

by Shashi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Life, Inspiration, Luck & Destiny
——-

Log toh ghar basakar, tamaam rishtey naate banakar bhi pyar ke chand lamhe nahi jee paate aksar … lekin maine toh chand lamhon mein pyar ki mukammal zindagi ko paa liya hai tumse

by Zeenat Aman
categorised in World & Universe
and also in Romance, House
——-

Sneh aasman se tapki hui sharaab ki ek boond hai … joh insaani jism mein dhalkar zameen ka sabse khoobsurat phool ban gayi

by Shashi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Flowers & Trees, Food & Drinks
——-

Khamoshi mein udasi ab rahi kahan … tumhe dekh liya phir se toh sari udasiyan khamosh ho gayi hai ab toh jaise

by Zeenat Aman
categorised in World & Universe
and also in Sadness
——-

Jise humdum banaya ho, jise humkadam banaya ho … usse humraaz nahi banaya ja sakta

by Shashi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Sirf saanson ke aane jaane ka naam hi toh zindagi nahi … saans toot bhi jaye toh kya, saans kho bhi jaye toh kya?

by Zeenat Aman
categorised in World & Universe
and also in Life
——-

Tumhare pyar ka kya sila doon yeh nahi malum … umar mil saki agar kuch aur toh yeh bhi seekh loongi main tumse

by Zeenat Aman
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance

In case there are some dialogues missed from the movie Bandhan Kuchchey Dhaagon Ka (genre: Drama, Family) from 1983, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *