Famous Dialogues from Movie – Ardh Satya (1983)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Ardh Satya released in year 1983

Apni life ka goal fixed … naukri aur chokri … front portion for chokri, back portion reserved for naukri

categorised in World & Universe
and also in Adult, Job & Career, Women
——-

Chakravyuh mein ghusne se pehle kaun tha main aur kaisa tha, yeh mujhe yaad hi na rahega … chakravyuh mein ghusne ke baad mere aur chakravyuh ke beech sirf jaanleva nikatta thi, iska mujhe pata hi na chalega … chakravyuh se bahar nikalne par main mukt ho jaon bhale hi, phir bhi chakravyuh ki rachna mein fark hi na padega … maron ya maaron, maara jaon ya jaan se maardon, iska faisla kabhi na ho payega … soya hua aadmi jab neend mein se uthkar chalna shuru karta hai, tab sapnon ka sansar usse dobara dikh hi na payega … us roshni mein joh nirnay ki roshni hai, sab kuch samaan hoga kya … ek palhade mein napunsakta, doosre palhade mein parush aur theek tarazu ke kaante par ardh satya

by Om Puri
categorised in World & Universe
and also in Poem, Life, Dreams
——-

Kriti ke pehle aaya hua vichar aur vichar ke baad waali kriti … inke darmiyan aahuti joh maine di … jin jin shanon mein main bhool gaya tha dehbaan … jin jin shanon mein ulajh gaya tha kriti mein … unhi shanon mein mujhe dikhai di tumhari sambhavna ki sampoorna akruti … ho chuki hai ab meri kriti poori aur tumhari akruti bujh gayi

by Om Puri
categorised in World & Universe
and also in Poem

In case there are some dialogues missed from the movie Ardh Satya (genre: Crime, Drama) from 1983, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *