Famous Dialogues from Movie – Aaj Ka M.L.A. Ram Avtar (1984)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Aaj Ka M.L.A. Ram Avtar released in year 1984

Yeh joh vote hai na yeh kagaz ka tukda nahi hai … ki dabbe mein daala aur chal diye … yeh vote tumhare parivar, tumhare desh, uski unnati ki parchi hai … yeh toh do dhaari talwar hai joh dono taraf se kaatti hai … theek jagah pade toh desh khushal aur galat jagah pade toh desh ka satyanash

by Rajesh Khanna
categorised in World & Universe
and also in Politics, Inspiration, Patriotism
——-

Jab raajneeti pesha ban jaati hai, vyapar ban jaati hai … toh kursi desh se badi ho jaati hai

by A. K. Hangal
categorised in World & Universe
and also in Politics, Business
——-

Agar usne apna rasta nahi badla toh majboor hokar hum mein apna rasta badalna hoga … aur woh rasta khoon ke darya se hoke guzrega

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Hamare desh mein samajwad kahan hai … hamare desh mein toh afsarwad hai, jaat-paatwad hai, kursiwad hai … arre samajwad toh tab aayega jab aap apne vote ki taqat mehsoos karenge

by Rajesh Khanna
categorised in World & Universe
and also in Politics, Inspiration
——-

Zulm aur anyay ke khilaaf pehle hamesha ek hi awaaz uthti hai, ek hi haath uthta hai … aur phir dheere dheere sarfaroshon ka caravan tayaar ho jaata hai

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Patriotism
——-

Woh log mujhe toh maar sakte hai lekin meri awaaz ko nahi kuchal sakte … meri awaaz croreon mazdooron ki awaaz bankar un zalimon ke kaano se takrayegi … mere khoon ke ek ek boond se hazaron lakhon croreon Kranti Kumar pehda honge … joh is dharti se zulm, anyay aur baimaani ke rakshas ko hamesha hamesha ke liye khatam kar denge … kranti hogi, poorn kranti, sampoorn kranti!

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Patriotism, Lies & Cheating

In case there are some dialogues missed from the movie Aaj Ka M.L.A. Ram Avtar (genre: Action, Drama) from 1984, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *