Joh karte hai woh bolte nahi … joh bolte woh karte nahi … joh garajte hai woh baraste nahi … joh baraste hai woh garajte nahi … lekin main karoonga bhi, bolunga bhi, garjunga bhi, barsunga bhi
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-
Bahut soch samajh kar samajh samajh kar samajhdari ke saath hum dono milke duniya ko kuch aaisa samjhayenge … ke soch samajh kar samajh samajh kar samajhdari ke saath duniya bhi yeh samajh jayegi … ke soch samajh kar samajh samajh kar samajhdari ke saath hum dono ki samajhdari saath saath chal rahi hai … aur soch samajh kar samajh samajh kar samajhdari ke saath hum dono ko joh bahut pehle kar dena chahiye tha … woh soch samajh kar samajh samajh kar samajhdari ke saath hum dono ne baad mein kiya … magar kiya zaroor … samajh rahi hai na main kya samjhana chah raha hoon?
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-
Maine tujhe dhoonda yahan vahan sara jahan kahan kahan kahan … tu mujhe mili yahan yahan yahan?
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-
Woh ek ko pakadti hai, doosre ko lipatti hai, teesre ko dekhti hai … aur chauthe ko chedti hai
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-
Aap log isse poochiye, iske dhadakte dil se poochiye … zameen se poocho, aasman se poocho, hawaon se poocho, fizaon se poocho, andheron se poocho, ujalon se poocho, chaand se poocho, sitaron se poocho, aandhi se poocho, toofan se poocho … mujhe se poocho, mere baap se poocho, isse poocho, iske baap se poocho, mere ghar ke char char cartoon se poocho … arre main kehta hoon aur toh aur in pattiyon se poocho, in pattiyon ke peeche jalti hui battiyon se poocho, is bikhare hue kaleen se poocho, girre hue tambu se toote hue bamboo se poocho … poocho us zarre zarre tinke tinke se kitna pyar kiya hai main ne isse?
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Romance, Comedy
——-
Hum court mein dimaag se lade hai toh Baazigar ka Shah Rukh Khan hoon … mukka laat se lade hai toh Judwaa ka Salman Khan hoon … aur jazbaat se lade hai toh Sarfarosh ka Aamir Khan hoon
by Johnny Lever
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-
Is naari ki aaisi tarkari banata hoon … ke sarkari gaadi mujhe izzat se lene aaye
by Johnny Lever
categorised in World & Universe
and also in Comedy, Government, Transportation
——-
Main haddi nahi hoon hadda hoon … apne daddy ka dadda hoon … divorce karane ka adda hoon
by Johnny Lever
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-
Kabhi kabhi hoothon ka kaam aankhen kar deti hai
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-
Is boyfriend ko usne pehle se bhi zyada lift diya aur pehle se bhi zyada bada gift diya
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-
Abbe teri patni hai ki batate vade ki chutney hai … jis tarah se chutney har thali mein batti rehti hai, har batate vade ko patti rehti hai … us tarah se tumhari patni ka har station pe boyfriend hai yaar
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Food & Drinks, Husband & Wife, Comedy
——-
Aksar log safar mein humsafar ban jaate hai
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-
Auron se poora fees leta hoon … magar tum se pachas ki jagah tees leta hoon
by Johnny Lever
categorised in World & Universe
and also in Money, Comedy
——-
Aankhon ne kar diya kaam tamaam … kya hai aap ka shubh naam?
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-
I feel every day is a valentine day … every hour is a valentine hour … every minute is a valentine minute … every second is a valentine second
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Romance, Time
——-
Tum mard zaat ke naam pe ek dhabba ho … dhabba toh kya dhabba ke abba ho
by Rani Mukherjee
categorised in World & Universe
and also in Men, Comedy
——-
Meri apni khud ki ek personal biwi hai
by Satish Kaushik
categorised in World & Universe
and also in Husband & Wife, Comedy
——-
Itni beizzati maine zindagi mein ek saath kabhi nahi jheli hai
by Paresh Rawal
categorised in World & Universe
and also in Comedy, Life
——-
Na rahega bambu, na rahega tambu … na rahega tent, aur na hogi engagement
by Govinda
categorised in World & Universe
and also in Comedy, Marriage & Wedding
In case there are some dialogues missed from the movie Hadh Kar Di Aapne (genre: Comedy, Romance) from 2000, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.
Leave a Reply