Famous Dialogues from Movie – Yamraaj (1998)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Yamraaj released in year 1998

Dil todke bhikra diye jaate hai … joh toot nahi sakte woh thukra diye jaate hai … jadh kitni bhi gehri ho mushkil hai khade rehna … joh pedh nahi hai phalte woh katva diye jaate hai

by Prem Chopra
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Flowers & Trees
——-

Aapke shehar ka mausam bada suhana lage … ek lamha chura loon agar bura na lage

by Prem Chopra
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Weather, City & Places
——-

Tumne kursi ko kabhi gaur se dekha hai … kursi ke haath hote hai, paon hote hai, peeth hoti hai, magar kursi ka dil nahi hota … yeh kursi dilwaalon ki nahi, jigar waalon ki rakhail hai

by Gulshan Grover
categorised in World & Universe
and also in Drama, Courage
——-

Hum woh dariya hai hum mein maloom hai apni taqat … hum jahan chal padenge rasta ho jayega … chalna hai toh chalo varna jao bhaad mein … tu nahi mila toh koi aur ho jayega

by Jackie Shroff
categorised in World & Universe
and also in Shayari
——-

Toofan mein toh hum khushi se jaate hai … yun jhoomkar marte hai ki jee jaate hai … tum toh woh ho jisse samundar kha jaata hai … arre hum toh woh hai joh samundar ko pee jaate hai

by Mithun Chakraborty
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Weather
——-

Aksar log school mein padhte hai aur padhate hai … lekin bahut kam log hote hai joh apne aap mein school hote hai

by Prem Chopra
categorised in World & Universe
and also in Education, Shayari
——-

Jis tarah husn aane se nazakat aa jaati hai … ussi tarah mardon mein haisiyat aane se guroor aa jaata hai

categorised in World & Universe
and also in Men
——-

Aye aasmaan tere khuda se nahi hai khauff … aye zameen tere aadmi se darr lagta hai

by Prem Chopra
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Religion & God
——-

Zamane ki nazarein hai mere gunahon par … kisi ko apna chehra bhi dikhai deta hai, nahi … tum jahan hote ho wahan hote hai khoon aur laash ke saude … phir bhi vardi par daag dikhai deta hai, nahi

by Mithun Chakraborty
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Crime
——-

Mar gaye toh mar gaye, iski hum mein chinta nahi … jaan jaane ki jaaye, maut aane ki aaye

categorised in World & Universe
and also in Shayari, Life, Death
——-

Sher ki sawari ki sabse zyada dardnak baat yahi hoti hai … ki jab bhi koi uski sawari se utarna chahta hai … woh sher usse kha jaata hai

by Prem Chopra
categorised in World & Universe
and also in Animals & Birds
——-

Saare devtaon mein yamraj hi ek aaisa devta hai jiske naam ke baad bhi kuch nahi lagaya jaata … na ji, na babu … aur na hi uske naam ke pehle shri lagaya jaata hai … kyun ki yamraj apne aap mein ek poora naam hai … yamraj sirf yamraj hai

by Gulshan Grover
categorised in World & Universe
and also in Religion & God, Death
——-

Sapnon ke haar goothne behti thi zindagi … joh phool kam pad gaye toh kaante pe roh liye

by Prem Chopra
categorised in World & Universe
and also in Life, Dreams, Flowers & Trees
——-

Sapna dekhne ka haq sabko hai … lekin aaise sapne ki taraf mat bhaago joh tumhe khudkhushi ki taraf le jaye

by Gulshan Grover
categorised in World & Universe
and also in Dreams
——-

Upar ke yamraj ko hukum dena padta ki woh kisi ki zindagi ko maut mein badal de … lekin zameen ka yeh yamraj kisi ke hukum ka intezar nahi karta … woh khud maut ka faisla karta hai

by Gulshan Grover
categorised in World & Universe
and also in Death, Religion & God, Rowdyism
——-

Sar jiske aage na jhuke woh darwaza kisi aur ka hoga, mera nahi … aur joh har darwaze pe jhuk jaye woh sar kisi aur ka hoga, hamara nahi

by Mithun Chakraborty
categorised in World & Universe
and also in Shayari

In case there are some dialogues missed from the movie Yamraaj (genre: ) from 1998, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *