Famous Dialogues from Movie – Madam X (1994)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Madam X released in year 1994

Vasuli mein hum rupaye nahi … samne waale ke maathe par pasine ki boondein ginte hai

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Money, Rowdyism
——-

Galatfahmi mein jeene waale … asliyat mein mar jaate hai

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Hum hai maut ki woh express … duniya jise kehti hai Madam X

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Rowdyism, Death
——-

Yeh kanoon ke woh baap hai joh apni duty ko apni gaud mein jhula jhulakar, usse pyari pyari lori sunakar sula dete hai … aur aapke noton ka pankha banakar usse thandi thandi hawa dete hai

by Shakti Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Money, Law & Order, Comedy
——-

Koi hum mein maarkar hamara anth kya karega … mitne waale nahi hai hum, koi hamara khaatma kya karega … zindagi ko apni qaid mein liye ghoomte hai hum … koi zindagi se hum mein juda kya karega

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Poem, Inspiration, Life
——-

Jab bhi hamare samne koi bewakoof akalmandi ka taj pehenne ki jurrat karta hai … toh taj toh uske haathon mein hota hai magar pehenne ke liye uska sar nahi hota

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Rowdyism
——-

Humse dushmani modh lekar tumne zehareelay bichhoo ka dank apne shareer mein gaadh liya hai … aur bichhoo ke dank se aadmi marta nahi hai … zindagi bhar tadapta aur sisakta rehta hai … tum bhi jab tak jeeoge tadapte aur sisakte hi rahoge

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Enemy, Animals & Birds, Rowdyism
——-

Hamare paas duniya par nazar rakhne waali itni aankhen hai … jitni shayad aasman par sitaare bhi na ho

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in World & Universe, Drama
——-

Hamari saanson ki awaaz sunkar toh maut ke farishtay bhi gabrakar bhaag jaate hai

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Rowdyism, Death
——-

Dimaag ki aankh se dekhne waale … chehre ki aankhon ka bahut kam istamal karte hai

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Jis tarah yamraj ko sirf yamlok hi dekh sakta hai … ussi tarah Madam X ki shakal bhi sirf uska apna samraj hi dekh sakta hai … joh bhi hamari jhalak dekhne ki jurrat karta hai … woh jalkar aaise dhuan ho jaata hai ki na zameen ko uski khaak milti hai, na hawaon ko uski raakh

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Rowdyism, Death
——-

Main uske jism par itne zakhm kar doonga … ki sirf zakhm hi zakhm nazar aayenge … jism nahi

by Raza Murad
categorised in World & Universe
and also in Action
——-

Shikaar ke waqt sherni jis zameen par apne khunkhar panje rakhti hai … us zameen ko bhi uske chalne ka ehsaas nahi hota … ehsaas tab hota hai jab shikaar kiya hua khoon zameen par bikhar jaata hai

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Animals & Birds
——-

Kanoon hamari giraftari ka plan baad mein banata hai … hum usse todne ke raaste pehle hi bana lete hai

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Law & Order, Rowdyism
——-

Yeh maut bhi kitni ajeeb cheez hai … insaan usse mehsoos karte hi, zindagi ke aanchal mein chanchal balak ki tarah tadapne lagta hai

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Death, Life

In case there are some dialogues missed from the movie Madam X (genre: Action, Crime, Drama, Thriller) from 1994, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *