Famous Dialogues from Movie – Amiri Garibi (1990)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Amiri Garibi released in year 1990

Ek aurat ke liye uske pati ke pyar ke bina duniya ki tamaam daulat, saare sukh ke samaan … us bejaan kagaz ke phool ki tarah hote hai … jin mein banavati rang toh hote hai lekin zindagi ki khushboo nahi hoti

by Poonam Dhillon
categorised in World & Universe
and also in Husband & Wife, Money, Life
——-

Jab tu bahar se kisi daulat waale ka bangla dekhega na … toh tujhe lagega ki bhagwan ne isse bahut kuch diya hai … par jab andar jaake dekhega … toh tujhe lagega bhagwan ne isse bahut kuch cheen bhi liya hai

by Om Shivpuri
categorised in World & Universe
and also in House, Religion & God
——-

Shaadi vivah mein jab bhi jaana hota hai na … toh hamari memsaab ko toh do din pehle bata dena padta hai … unko sajne savarne mein itna waqt lag jaata hai … ki shaadi ke din ki bajai hum pehle bache ke janam din par hi pahunch paate hai

by Tiku Talsania
categorised in World & Universe
and also in Comedy, Marriage & Wedding, Birthday
——-

Aurat ki sundarta aur jawaani ka mehatva tabhi hai … jab us mein mard ko rijhane ki adayein ho … patthar ko pighlane waale husn ka jaadu ho

by Raj Babbar
categorised in World & Universe
and also in Women
——-

In doctoron ke chakkar bhi ajeeb hote hai … jinke paas kuch nahi hota, unhe kehte hai phal khao, makhan khao, badam khao … aur jinke paas sab kuch hota hai, unhe kehte hai ki yeh mat khao woh mat khao

by Pran
categorised in World & Universe
and also in Food & Drinks

In case there are some dialogues missed from the movie Amiri Garibi (genre: Family) from 1990, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *