Famous Dialogues from Movie – Watan Ke Rakhwale (1987)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Watan Ke Rakhwale released in year 1987

Kutte kamine tu mujhse bachkar nahi ja sakta … main tujhe dhoond nikaloonga, main tujhe pataal se bhi dhoond nikaloonga … aur main tujhe dhoondkar tera kaleja cheer doonga, main tera pet phaad daloonga … haramzade tu mujhse bachkar nahi ja sakta

by Dharmendra
categorised in World & Universe
and also in Action
——-

Jaldi se chalte bano varna aaisi laat maaroonga ki football ki tarah goalpost se latakkar … baar baar goal hote rahoge

by Mithun Chakraborty
categorised in World & Universe
and also in Sports & Games, Comedy
——-

Khatron se khelna hamara business hai, hamara karobar hai … hamare paas maut ki factory hai … hum maut banate jaate hai aur society mein bechte jaate hai

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Death, Business, Rowdyism
——-

Agar doobara tumne hum dono ki zindagi mein phir se koi gadbad karne ki koshish ki … toh maar maarkar tumhari shakal aaisi bighad doonga … ki museum waale bhi apne showcase mein nahi rakhenge

by Mithun Chakraborty
categorised in World & Universe
and also in Action, Comedy
——-

Jab tak main uska khoon nahi kar loonga … na mujhe neend aayegi, na mujhe maut aayegi

by Dharmendra
categorised in World & Universe
and also in Action, Death
——-

Insaan aur insaaniyat ka toh main paidahishi dushman hoon … mera bas chale toh main insaaniyat ka khoon aaise nichhod loon … jaise log kisi phal mein se uska ras nichhod lete hai

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Enemy, Food & Drinks, Rowdyism
——-

Is duniya mein suraj ko mutthi mein chupana aasaan hai … lekin ek baar jurm karke usse hamesha ke liye chupana namumkin hai

by Sunil Dutt
categorised in World & Universe
and also in Crime
——-

Tu apno ka nahi, tere desh ka hi gaddar nahi … balki gaddaron ka bhi gaddar hai … aur tujh jaise gaddar ko zinda rehne ka koi haq nahi hai

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Aaj kanoon ki chhat tumhare sar pe hai is liye tum apni zehareeli zubaan ki dank se hum mein dass rahe ho … lekin beta jis din yeh chhat gir jayegi aur pata chalega ki yeh sirf tumhari chaal thi … us din tumhari zubaan ko hum alakh se ukhadkar gandi naali mein phek denge

by Kader Khan
categorised in World & Universe
and also in Rowdyism, Law & Order

In case there are some dialogues missed from the movie Watan Ke Rakhwale (genre: ) from 1987, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *