Famous Dialogues from Movie – Hukumat (1987)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Hukumat released in year 1987

Josh mein koi burai nahi lekin usse hosh ke dariye mein hona chahiye

by Shammi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Inspiration
——-

Ab na woh zalim rahenge na zulm rahega … na kanoon se khilwar karne waale woh gaddar rahenge … ab sirf kanoon rahega

by Dharmendra
categorised in World & Universe
and also in Law & Order, Drama
——-

Hindustan par hukumat ek afsar ki nahi, kisi minister ki nahi, in Jamaal Sen jaise darindo ki nahi … Hindustan par hukumat hai in masoom bachchon ki, Hindustan par hukumat hai Hindustani awaam ki, Hindustan par hukumat hai hum Hindustaniyon ki

by Dharmendra
categorised in World & Universe
and also in Patriotism
——-

Kanoon aur kanoon ke rakhwaalon ko saboot ki zaroorat us waqt tak padti hai, jab tak woh kanoon ki hadhon mein rehte hai … lekin jis waqt woh kanoon ki hifazat ke liye un hadhon se bahar nikal jaate hai, toh phir saboot ki nahi … goliyon ki zaroorat padti hai

by Shammi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Law & Order, Action
——-

Is duniya mein dard bahut hai aur baatne waale haath bahut kam hai … phir bhi aagaaz hai yeh jisse anjaam tak nibhana hai … khoon hai jab tak ragon mein, har zulm ko mitana hai

by Dharmendra
categorised in World & Universe
and also in Inspiration
——-

Kanoon ka sipahi, kanoon ki raksha ke liye jab kanoon ke dariye se bahar nikalta hai … toh woh sar pe kafan bandkar nikalta hai

by Shammi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Law & Order, Drama
——-

Khuda toh sabko bacha sakta hai … lekin jiska khuda na ho, usse koi nahi bacha sakta

by Shammi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Religion & God

In case there are some dialogues missed from the movie Hukumat (genre: ) from 1987, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *