Famous Dialogues from Movie – Jeene Nahi Doonga (1984)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Jeene Nahi Doonga released in year 1984

Main teri itni botiyan karoonga … ki aaj gaon ka koi bhi kutta bhookha nahi soyega

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Action, Animals & Birds, Village
——-

Barood tumhare andhar bhi bhara hai … bomb mere seene mein bhi sulag rahe hai … dhamaka jab hoga bade zor ka hoga

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Action
——-

Isaaniyat ka dhood pilane se saanpon ka zehar aur badhta hai

by Raj Babbar
categorised in World & Universe
and also in Animals & Birds, Food & Drinks, Drama
——-

Aaisi bahut si aandhiyan aayi aur chali gayi … lekin koi is pahad ke seene mein chhed nahi kar saka

by Dharmendra
categorised in World & Universe
and also in Weather, Rowdyism
——-

Zindagi band ghar ka diya banke reh gayi hai … joh na achchi tarah se jal sakta hai aur na hi poori tarah se bhujne mein aata hai

categorised in World & Universe
and also in Life, House, Drama
——-

Insaaniyat inteqam nahi … insaaf chahti hai, aman chahti hai

by Dharmendra
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Revenge
——-

Duniya mein jeene ke sirf do hi tareeke hai … ya toh aadmi deewaron ke neeche dab jaye … ya phir deewaron se upar uth jaye

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in World & Universe, Inspiration
——-

Likhne waalon ke kalam toot gaye lekin meri kahaniyan phir bhi poori na ho saki

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Mujhe iska itna lahu bahana hai … ki yeh safed ho jaye aur dharti laal

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Action
——-

Zulm ki talwar jab bhi mayaan se bahar nikalti hai … toh pehla khoon insaaniyat ka behta hai … fasaad ki aag jahan bhi lagti hai … usmein saare ghar begunahon ke jalte hai … khoon ki Holi khelte toh hai dushman … lekin rang mazloomon ke lahu ka bahaya jaata hai

by Parikshat Sahni
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Enemy, House
——-

Hum yahan se door aur kahin upar behte hue taqdeer ke likhne waale ko nahi maante … hum uska likhne waala kalam todh bhi sakte hai … aur kalam se likhi hui taqdeer badal bhi sakte hai

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Luck & Destiny, Drama
——-

Aandhiyon ke darr se log apne hi diyon ko apni hi phoonkon se bhujane lagenge … toh mohabbat ki duniya mein sirf andhera reh jayega

by Raj Babbar
categorised in World & Universe
and also in Drama, Weather
——-

Aaj jee bharke mandir ke samne sar tek le … iske baad yeh magroor sar na uthne ka kabil rahega na jhukne ke kabil

by Dharmendra
categorised in World & Universe
and also in Drama, Rowdyism
——-

Laundiya bhi garam hai aur malai ki tarah naram hai

by Jagdeep
categorised in World & Universe
and also in Food & Drinks, Comedy
——-

Yahi toh kamaal hai mohabbat ka … woh insaan ko zulm ke andhere kuye se nikalkar aasman ki us chaukhat tak pahuncha deti hai … jahan suraj bhi roshni ki bheek mangne aata hai

by Parikshat Sahni
categorised in World & Universe
and also in Romance, World & Universe
——-

Is ghar mein us waqt tak koi khushi nahi ho sakti … jab tak hum dushman ke ghar mein khushiyon ke chiragon ko gham ke andheron mein na badal de

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in House, Happiness, Sadness
——-

Zakhm teri chaati mein hoga … aur khoon mere dil se bahega

by Anita Raj
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Waqt ki chakki mein ek din zameen aur aasman pis jayenge … lekin mohabbat ka nagma goonjta rahega … hamesha goonjta rahega

by Parikshat Sahni
categorised in World & Universe
and also in Time, Music, Romance
——-

Is ghar ko aag lag gayi ghar ke chirag se … baat teri meri ban gayi tere dimaag se

by Jagdeep
categorised in World & Universe
and also in Shayari, House, Comedy
——-

Pyar woh sachai hai jiski dor mein sari duniya bandhi hui hai

by Parikshat Sahni
categorised in World & Universe
and also in Romance, World & Universe
——-

Tum bahut khush kismat ho … joh aaj tumne Shaka ki sirf muskurahat dekhi hai … maathe pe padhe huye woh bal nahi dekhe … joh zindagi ke khet mein maut ke hal chala dete hai

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Rowdyism, Life, Death
——-

Yeh toofan toh soo raha tha aman ke badalon ko apna takiya banakar … isse jagaya bhi tumne hai aur uthaya bhi tumne

by Dharmendra
categorised in World & Universe
and also in Drama, Weather
——-

Mere andhar joh toofan uth raha hai is waqt … jee chahta hai duniya ke saare diye bhuja doon … mere dil ke andhar joh chitta jal rahi hai is waqt … usmein sirf tumhari hi nahi, iski laash bhi chahiye

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Drama, Weather
——-

Mohabbat ke sailaab ke samne har deewar toot jaati hai

by Parikshat Sahni
categorised in World & Universe
and also in Romance, Weather
——-

Aag se aag nahi bujhti … naa hi zulm se zulm ka khatma ho sakta hai

categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Upar waale se dua maango ki duniya mein joh bhi toofan aaye sar se guzar jaye tumhare … lekin is aandhi se tumhara paala kabhi na padhe

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Weather, Rowdyism
——-

Tum Shaka ko zanjeeron ka jaal toh pehna sakte ho … magar hamesha ke liye usse bandkar rakh nahi sakte

by Shatrughan Sinha
categorised in World & Universe
and also in Rowdyism

In case there are some dialogues missed from the movie Jeene Nahi Doonga (genre: Action) from 1984, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *