Famous Dialogues from Movie – Umrao Jaan (1981)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Umrao Jaan released in year 1981

Tu mujhe chahe na chahe yeh tere bas mein toh hai … aur main tujhko na chahun yeh mere bas mein nahi

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance
——-

Dil cheez kya hai aap meri jaan lijiye … bus ek baar mera kaha maan lijiye … is anjuman mein aapko aana hai baar baar … deewar-o-dar ko gaur se pehchaan lijiye

by Naseeruddin Shah
categorised in World & Universe
and also in Poem, Shayari, Romance
——-

Aaine ke paas toh kuch bhi nahi … meri aankhon mein teri tasveer hai

by Naseeruddin Shah
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Ab aap samne hai toh kuch bhi nahi hai yaad … varna kuch aapse hum mein kehna zaroor tha

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Kis kis tarah se mujhko na rusva kiya gaya … gairon ka naam mere lahu se likha gaya … kyun aaj uska zikr mujhe khush na kar saka … kyun aaj uska naam mera dil dukha gaya

by Farooq Shaikh
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance, Sadness
——-

Kitne toofan uthaye aankhon ne, naav yaadon ki doobti hi nahi … tujhse milne ki, tujhko paane ki koi tatbir soojti hi nahi

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance

In case there are some dialogues missed from the movie Umrao Jaan (genre: Drama) from 1981, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *