Famous Dialogues from Movie – Silsila (1981)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Silsila released in year 1981

Main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai … tum hoti toh kaisa hota … tum yeh kehti, tum woh kehti, tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hasti … tum hoti toh aaisa hota, tum hoti toh waisa hota … main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance
——-

Phool khamosh rehkar bhi apne rang aur khusboo se bahut kuch keh jaate hai

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Flowers & Trees
——-

Woh baat joh lafzo mein ada ho jaye … woh baat hi kya hui

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Hum gayab hone waalo mein se nahi hai … jahan jahan se guzharte hai jalwe dikhate hai … dost toh kya, dushman bhi yaad rakhte hai

by Shashi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Enemy, Comedy
——-

Do lafz hai … tanha, akele … lekin ek saath likh diye jaye toh ek duniya, ek kainaat, ek talash, ek lamha, ek khushi ban sakte hai

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in World & Universe, Happiness, Drama
——-

Majboor yeh halaat idhar bhi hai udhar bhi, tanhai ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi … kehne ko bahut kuch hai magar kisse kahe hum, kab tak yunhi khamosh rahe aur sahe hum … dil kehta hai duniya ki har ek rasam utha dein, deewar joh hum dono mein hai aaj gira dein … kyun dil mein sulaghte rahe, logon ko bata dein … haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance
——-

Sawaal agar khud jawaab ho … toh sawaal, sawaal nahi rehta

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Joh jitna door ho … utna hi paas rehta hai

by Rekha
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Aaj tak toh gham-e-rozgaar se daaman nahi chuda saka … aap se milne ke baad shayad gham-e-dil se rishta ho jaye

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Romance, Life
——-

Haadsa banke koi khwaab bhikar jaye toh kya ho … waqt jazbaat ko tabdeel nahi kar sakta … door ho jaane se ehsaas nahi mar sakta … yeh mohabbat hai dilon ka rishta … aaisa rishta joh zameenon ki tarah sarhadon mein kabhi taqseem nahi ho sakta … tu kisi aur ki raaton ka haseen chand sahi … meri duniya ke har rang mein shamil tu hai … tujhse roshan hai mere khwaab, meri umeedein … main kisi raah se guzron, meri manzil tu hai

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance, Dreams
——-

Tumhara intezar na karte hue bhi har modh par tumhara intezar kiya … tumhari umeed na rakhte hue bhi maine har kadam par tumhari tamanna ki … tumhe na chahte hue bhi maine tumhe itna chaha ki kisi aur ko chahne ki aarzoo bhi na rahi

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-

Yaadon ke jharokhon mein beeti hui baaton ko … ukdhi hui saanson mein kuch lamhon ke raazon ko … pyar ki shabnam mein unsune geeton ko … sunsaan si rahon mein bhoole hue vaadon ko … kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare … khamosh sadaaon mein sapnon bhari raaton ko … bheege hue mausam mein sarke hue aanchal ko … moondi hui aankhon mein dhadakte nainon ko … adh-khule hoton mein pritam ke chumman ko … kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare

by Jaya Bhaduri Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance, Weather
——-

Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai … hai chandni ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai … yeh chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara aanchal … hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki khushboo … yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne chupke se kuch kaha hai … yeh soochta hoon main kabse gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi ho, kahin nahi ho … magar yeh dil hai ki keh raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance, Weather
——-

Waqt jin mein tumhare labon ka rang nahi … woh waqt guzra nahi … tehar gaya hai kahin

by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Romance, Time

In case there are some dialogues missed from the movie Silsila (genre: Romance, Drama) from 1981, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *