Famous Dialogues from Movie – Heartless (2014)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Heartless released in year 2014

Mere marne ke baad mera dil nikaal lena … hai kisi aur ki amanat … kahin saath jal na jaye

by Adhyayan Suman
categorised in World & Universe
and also in Death
——-

Yeh kaisi khwahish, yeh kaisa ehsaas hai … joh waakif na tha kal tak woh har lamha ab mere pass hai … yeh kaunsa rang hai, yeh kiska sang hai, yeh kaisa saaz hai, yeh kiski awaaz hai … kyun neend ab pareshan si aati hai … kyun har saans mein uski khushboo utar jaati hai … tahruff toh abhi nahi hai usse phir har waqt kyun woh aas pass hai … yeh kaisi khwahish, yeh kaisa ehsaas hai

by Adhyayan Suman
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance
——-

Tumhari zindagi mein aane wala kal nahi hai aur meri zindagi mein hai … kyun ki tum zindagi ko saalon mein ginte ho aur main lamhon mein

categorised in World & Universe
and also in Life
——-

Har insaan ka apna safar hota hai … thodi der ke liye kisi aur ke saath judh jaane se … uska safar apna nahi ho jaata hai

by Deepti Naval
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Time
——-

Ek katra jab zara sa ubharta hai, toh samundar ke lehje mein baat karta hai … chhaton ke diye kab ke bhuj gaye hote, koi toh hai joh hawa ke par kattarta hai … aur zameen ki koi vakalat nahi chalti, jab koi faisla aasman se utarta hai

by Om Puri
categorised in World & Universe
and also in Poem

In case there are some dialogues missed from the movie Heartless (genre: Thriller) from 2014, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *