Famous Dialogues from Movie – Zindagi Na Milegi Dobara (2011)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Zindagi Na Milegi Dobara released in year 2011

Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, nazar mein khwabon ki bijliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum … hawa ke jhokon ke jaise aazad rehno seekho, tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho … har ek lamhe se tum milo khole apni baahen, har ek pal ek naya samha dekhe yeh nigaahen … joh apni aankhon mein hairaaniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum

by Farhan Akhtar
categorised in World & Universe
and also in Poem, Inspiration
——-

Jab jab dard ka baadal chaya, jab gham ka saaya lehraya, jab aasoon palkon tak aya, jab yeh tanha dil ghabraya … humne dil ko yeh samjhaya, dil aakhir tu kyun rota hai … duniya mein yunhi hota hai … yeh joh gehre sannate hai, waqt ne sabko hi baante hai … thoda gham hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa … aankh teri bekaar hi namm hai, har pal ek naya mausam hai … kyun tu aise pal khota hai, dil aakhir tu kyun rota hai

by Farhan Akhtar
categorised in World & Universe
and also in Poem, Inspiration, Romance
——-

Kya tum mantally challenged ho my bwoy?

by Farhan Akhtar
categorised in World & Universe
and also in Comedy
——-

Pighle neelam sa behta hua yeh samaan, neeli neeli si khamoshiyan, na kahin hai zameen na kahin aasmaan … sarsaraati huyi tehniyan pattiyan, keh rahi hai ki bas ek tum ho yahan … sirf main hoon meri saansein hai aur meri dhadkane, aisi gehraiyan, aisi tanhaiyan, aur main sirf main … apne hone pe mujhko yakeen aa gaya

by Farhan Akhtar
categorised in World & Universe
and also in Poem, Inspiration
——-

Sieze the day my friend … pehle is din ko poori tarah jiyo, phir chalis ke bare mein soochna

by Katrina Kaif
categorised in World & Universe
and also in Inspiration
——-

Insaan ko dibbe mein sirf tab hona chahiye … jab woh mar chuka ho

by Katrina Kaif
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Death
——-

Ik baat honthon tak hai joh aayi nahi, bas aankhon se hai jhaankti … tumse kabhi, mujhse kabhi kuch lafz hai woh maangti … jinko pehan ke honthon tak aa jaye woh, awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh … lekin joh yeh ek baat hai, ehsaas hi ehsaas hai … khushboo si hai jaise hawa mein tairti, khushboo joh be-aawaaz hai … jiska pata tumko bhi hai, jiski khabar mujhko bhi hai … duniya se bhi chupta nahi, yeh jaane kaisa raaz hai

by Farhan Akhtar
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance
——-

Dost mujhe Majnu bulate hai

by Farhan Akhtar
categorised in World & Universe
and also in Friendship, Comedy
——-

Insaan ka kartavya hota hai koshish karna … kaamyabi nakaamyabi sab uske haath mein hai

by Farhan Akhtar
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Victory & Success, Defeat & Failure
——-

Kabhi pay check milte waqt … tumhare aankhon mein aasun aye hai?

by Katrina Kaif
categorised in World & Universe
and also in Job & Career, Drama
——-

Yeh the mantally sick ho chuka hai

by Abhay Deol
categorised in World & Universe
and also in Comedy

In case there are some dialogues missed from the movie Zindagi Na Milegi Dobara (genre: Romance) from 2011, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *