Collection of some famous & popular dialogues from movie Sangdil released in year 1952
Duniya mein asli shanti kisi ke sache pyar mein hi mil sakti hai … uske bagair duniya jise shanti kehti hai, woh shanti ek thakan hai … shakast ya maut ka doosra naam hai
by Dilip Kumar
categorised in World & Universe
and also in Defeat & Failure, Death
——-
Zindagi aur waqt ka dariya aaisa hai … aadmi ek baar usse laang jaye toh phir kabhi vapas nahi aa sakta
by Madhubala
categorised in World & Universe
and also in Life, Time
——-
Jab kashti jawani ke kinare par aa jaye … toh wahan aadmi nayi awaazon se pyar karne lag jaata hai … wahan usse shaadi ke baaje sunai dete hai … phir usse pichle kinare ki awaazon ka khayal nahi karna chahiye
by Madhubala
categorised in World & Universe
and also in Drama, Transportation, Marriage & Wedding
——-
Main kisi se nahi darta … main zindagi se nahi darta, maut se nahi darta, andheron se nahi darta … darta hoon toh sirf khoobsurati se
by Dilip Kumar
categorised in World & Universe
and also in Romance, Life, Death
——-
Din ke waqt toh phool achche lagte hi hai … magar chandni mein dekhiye toh yun lagta hai … jaise nanne nanne shokh farishtey door ke dariya mein tairte phir rahe ho
by Dilip Kumar
categorised in World & Universe
and also in Flowers & Trees
——-
Jab dil se dil ki shaadi hoti hai na … toh us mein na baraatiyon ki zaroorat hoti hai na kisi aur cheez ki … us mein tamannao ki baraat nikalti hai aur khushiyon ki
by Dilip Kumar
categorised in World & Universe
and also in Romance, Marriage & Wedding, Happiness
In case there are some dialogues missed from the movie Sangdil (genre: Romance, Drama) from 1952, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.
Leave a Reply