Famous Dialogues from Movie – Fanaa (2006)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Fanaa released in year 2006

Agar andha hota, toh duniya ki sabse haseen cheez dekh nahi pata … aap

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Romance, World & Universe
——-

Behti hai hoton ko seekar, pachtayengi aap … ishq jaag uthta hai aksar, aaisi khamoshi ke baad

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance
——-

Jaan usse do joh apna dil tumhe de … lekin apna guroor sirf us pe kurbaan karo … joh tumhare pyar mein fanaa ho jaye

by Kiron Kher
categorised in World & Universe
and also in Romance, Life
——-

Adhoori saans thi, dhadkan adhoori thi, adhoore hum … magar ab chaand poora hai falak pe … aur ab poore hai hum

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance
——-

Sahi aur galat ke beech faisla karna bahut aasaan hai … lekin do sahi raasto mein se behtar chunana aur do galat raasto mein se munasif … yahi hamari zindagi ke faisle karte hai

by Kajol
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Drama
——-

Na shehar dekho na biyabaan dekho … khuda ka eklauta naam-o-nishaan dekho … bas aankh uthao aur Rehan dekho

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Comedy
——-

Tumhari khoobsurati ne khuda se khatta kara di … kahin khud se nazar na lag jaye … yunkar tumhe nazar na di

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance, Luck & Destiny
——-

Tujhe is bazaar ka dastoor main samjha nahi sakta … bik gaya joh woh khareedar ho nahi sakta

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance
——-

Kabhi kabhi ek aadmi ka sahi … doosre ka galat ho sakta hai

by Kajol
categorised in World & Universe
and also in Drama
——-

Hum aaj joh faisla karte hai … wahi hamare kal ka faisla karega

by Rishi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Drama
——-

Kaash mein oon ka gola hota … aur unki ungliyon mein lipta hota

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance, Comedy
——-

Sharaab peene de masjid mein bahetkar ghalib … yah woh jagah dikha de jahan khuda na ho

by Rishi Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Religion & God, Food & Drinks
——-

Humse door jaoge kaise, dil se hum mein bhulaoge kaise … hum woh khushboo hai joh saason mein bastein hai, khud ki saason ko rok paoge kaise

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance
——-

Tere dil mein meri saanson ko panaah mil jaye … tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaye

by Kajol
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance
——-

Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte … jaam doosron se cheenkar hum piya nahi karte … unko mohabbat hai toh aakar izhaar karen … peecha hum bhi kisika kiya nahi karte

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance, Food & Drinks
——-

Aag suraj mein hoti hai, jalna zameen ko padta hai … mohabbat nigahein karti hai, tadapna dil ko padta hai

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance, World & Universe
——-

Bhool karke agar humse koi bhool hui ho, toh bhool samajhkar bhula dena … lekin bhulana sirf bhool ko, galati se bhi hum mein na bhula dena

by Kajol
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance
——-

Pani se pyaas nah bhuji toh maikhane ki taraf chal nikla … soocha shikayat karoon teri khuda se … par khuda bhi tera aashiq nikla

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance, Religion & God
——-

Kehte hai pyar mein neend udh jaati hai … koi humse bhi mohabbat kare … kambhakt neend bahut aati hai

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance, Comedy
——-

Phool hoon gulaab ka chameli ka mat samajhna … aashiq hoon aapka apni saheli ka mat samajhna

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Flowers & Trees, Romance
——-

Aisa laga khuda ne rakh diya hamare dil pe haath … liya naam hamare unhone kuch aisi ada ke saath

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Romance
——-

Dard se aankhen chaar kar lenge, hum bhi imtihaan de denge … teri dosti ke khatir aye dost, hum dushmano se bhi pyar kar lenge

by Aamir Khan
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Friendship, Enemy
——-

Insaan ki khwaish ki koi inteha nahi … do gaz zameen chahiye do gaz kafan ke baad

by Kajol
categorised in World & Universe
and also in Shayari, Drama

In case there are some dialogues missed from the movie Fanaa (genre: Drama, Romance, Action, Musical) from 2006, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *