Agar koi mard kisi doosri aurat ko nahi dekhta hai toh phir woh dikhava kar raha hai … ya phir uski biwi usse yeh dikhava karne par majboor kar rahi hai
by Mandira Bedi
categorised in World & Universe
and also in Men, Husband & Wife
——-
Cigarettes aur zindagi mein kafi similarities hoti hai … jaise ki cigarette ki is aag ko hi dekh lo … log har kash ke saath is aag ko apne kareeb kheenchne ki koshish karte hai … aag jitni aage badti hai cigarette utni ghatati hai … aur zindagi jitni badhti hai utni ghatati hai, jitni badhti hai utni ghatati hai … aur aaise hi zindagi katati hai
by Mandira Bedi
categorised in World & Universe
and also in Life
——-
Zindagi mein kabhi kabhi dil se soochna chahiye … lekin zindagi ke mathematics mein hamesha dimaag se soochna chahiye
by Sanjay Suri
categorised in World & Universe
and also in Life
——-
Pyar sardi ke us dhoop ke tukde ki tarah hota hai … jab tak rehta hai toh dil ko bahut sukoon deta hai … aur phir ek din chala jaata hai insaan ko us ehsaas ke saath jeene ke liye … akela chhodkar
by Sanjay Suri
categorised in World & Universe
and also in Romance, Weather
——-
Happily married? … aadmi ya toh sirf happy ho sakta hai ya married … dono cheezein ekhatti nahi ho sakti … impossible
by Sanjay Suri
categorised in World & Universe
and also in Men, Happiness, Marriage & Wedding
——-
Apne banaane se bante hai
categorised in World & Universe
and also in Inspiration
——-
Waqt nahi beetta … insaan beetta hai
by Sanjay Suri
categorised in World & Universe
and also in Time
——-
Zindagi ko kuredne se zung laga dil hi milta hai aur kuch nahi
by Sanjay Suri
categorised in World & Universe
and also in Life
——-
Zindagi akele kaatne mein no fun … koi na koi saathi hona chahiye … joh tumhare samajh mein aaye aur jise tum samajh sako, woh saathi … aur us saathi ke saath jitne pal guzaar liye … that’s life
by Mandira Bedi
categorised in World & Universe
and also in Life, Inspiration, Time
——-
Har aadmi ko ek baar shaadi zaroor karni chahiye … kyun ki har shaadi-shuda aadmi seedha swarg mein jaata hai … (kaise) … kyun ki narak se toh woh guzar chuka hota hai
by Sanjay Suri
categorised in World & Universe
and also in Men, Marriage & Wedding, Comedy
——-
Paas ho toh pyar karte hai … door ho toh pyar ki baatein
by Aashish Chaudhary
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-
Accomplishment and success often is a result of perseverance and commitment … rather than skill and talent
by Aashish Chaudhary
categorised in World & Universe
and also in Victory & Success, Inspiration
——-
Joh log aaish karte hai woh ash ban jaate hai
by Mandira Bedi
categorised in World & Universe
and also in Comedy
In case there are some dialogues missed from the movie Shaadi Ka Laddoo (genre: Comedy) from 2004, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.
Leave a Reply