Famous Dialogues from Movie – Julie (2004)

Collection of some famous & popular dialogues from movie Julie released in year 2004

Shaadi mein sirf do jism nazdeek nahi aate … unki aatmaon ka bhi milan hota hai

by Neha Dhupia
categorised in World & Universe
and also in Marriage & Wedding
——-

Tera mera sheeshay ka ghar … phir kyun dono ke haath mein patthar … main bhi soochon, tu bhi sooch … kya tujhe maloom na tha leheren aati hai, jaati hai … phir bhi kyun likha naam ret par … tu bhi sooch, main bhi soochon … kyun teri behen beti ghar mein aur kisi ki bazaar mein … tu bhi sooch, main bhi soochon

by Neha Dhupia
categorised in World & Universe
and also in Poem, House
——-

Duniya ka sabse bada violence, terrorism … kisi ladki ko vaishya banana hai … usse vaishya banke jeene par, vaishya banke marne par majboor karna hai

by Priyanshu Chatterjee
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Women
——-

Hum buraiyon ko mithaiyon ki tarah nighal lete hai … lekin sach ko nighalna bahut mushkil hota hai … kadva joh rehta hai

by Priyanshu Chatterjee
categorised in World & Universe
and also in Truth & Honesty, Food & Drinks
——-

Sunrise hote hue joh baat hamare dil mein ubharti hai … woh suraj ki tarah halke halke light up hote hi … hamare dil-o-dimaag aur hamari poori zindagi pe cha jaati hai

by Neha Dhupia
categorised in World & Universe
and also in Life, Romance
——-

Tum ek aaise insaan ho joh puja ke phool arthi par aur arthi ke phool kisi ke birthday par present kar sakte ho

by Neha Dhupia
categorised in World & Universe
and also in Flowers & Trees, Birthday
——-

Duniya gol nahi, merry-go-round hai

categorised in World & Universe
and also in World & Universe, Comedy
——-

Koshish woh seedhi hai ki paon tikke toh kamyabi … aur agar phisle toh bhi umeed barkarar rehti hai

by Priyanshu Chatterjee
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Victory & Success

In case there are some dialogues missed from the movie Julie (genre: Adult, Drama) from 2004, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *