Muddha yeh nahi hai ki main jeeton ya haaron … muddha yeh bhi nahi hai ki main jeeyon ya maar diya jaon … muddha yeh hai ki ek police officer hone ke naathe mera joh farz hai … usse mein imaandari se nibha raha hoon ya nahi … ek insaan hone ne naathe satya ke liye, satya ki vijay ke liye main ladh raha hoon ya nahi
by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Truth & Honesty, Police
——-
Yeh desh hai toh samvidhaan hai … desh nahi toh uske samvidhaan, uske kanoon ka koi wajood nahi
by Om Puri
categorised in World & Universe
and also in Law & Order, Politics
——-
Kisi ek insaan ki jaan lena … matlab puri insaaniyat ko maar dalna hai
by Kareena Kapoor
categorised in World & Universe
and also in Life, Drama
——-
Shakti joh hai woh police, fauj, hathyaron mein nahi hoti … desh ki shakti uske rajnaitik dhanche mein hoti hai, uski economy mein hoti hai, uski nyay pranali mein hoti hai … samaaji barabari aur mazhabi bhai-chare mein hoti hai … aur yeh sab kuch hum mein hamara samvidhaan hum mein deta hai
by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Patriotism, Inspiration, Politics
——-
Is desh mein politics hi sabse bada hathyara hai
by Om Puri
categorised in World & Universe
and also in Politics
——-
Tum ek saanp ko paal rahe ho … aur tum usse jitna bhi doodh pilaoge woh tumhe hi dasega
by Om Puri
categorised in World & Universe
and also in Animals & Birds, Food & Drinks
——-
Apni dharti se gaddari karna … matlab apni maa ke saath gaddari karna
by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Patriotism, Lies & Cheating, Parents
——-
Politics mein afvayen bhi ek hathyar hoti hai
categorised in World & Universe
and also in Politics
——-
Zindagi ek yudh shetra hai … samne vijay ho ya parajay … yodha ka dharm hai ladna aakhri saans tak, khoon ke aakhri katre tak ladna … zindagi ka arth armaan … satya aur insaaf ke liye satatya sangarsh karte rehna bas aur kuch nahi
by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Life, Truth & Honesty
——-
Aadmi ki maut tab hoti jab woh … beinsaafi ko dekh kar bhi uska virodh na kare, chup rahe
by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Inspiration, Death
——-
Farhan yeh mulk hamara hai … jitna yeh Hindu ka hai utna yeh Musalman ka bhi hai … Sikh ka bhi hai, Isahi aur Parsi ka bhi hai
by Pramod Moutho
categorised in World & Universe
and also in Religion & God, Patriotism
——-
Gita desh ka samvidhaan hai, woh uska kanoon hai
by Amitabh Bachchan
categorised in World & Universe
and also in Law & Order, Politics
In case there are some dialogues missed from the movie Dev (genre: Drama) from 2004, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.
Leave a Reply