Collection of some famous & popular dialogues from movie Na Tum Jaano Na Hum released in year 2002
Mera ek vishvas hai … mujhe lagta hai ki bhagwan ne hum sabke liye kuch na kuch tay kar rakha hai … wohi jaanta hai aur wohi faisla karta hai ki hum kab, kahan, kisse aur kaise milenge
by Hrithik Roshan
categorised in World & Universe
and also in Romance, Religion & God
——-
Woh wahi hai joh kabhi kabhi mere khayalon mein aata hai … jise soochkar hi muskurane ka mann karta hai … jiski awaaz meri har saans pehchaanti hai … dil ko ussi ka intezaar hai … jise meri tarah pyar se pyar hai
by Esha Deol
categorised in World & Universe
and also in Poem, Romance, Dreams
——-
Kabhi kabhi koi dhun sunne ke liye kisi saaz ki zaroorat nahi hoti … phoolon ke khilne ke liye baarish ki zaroorat nahi hoti … dil ki awaaz sunne ke liye lafzon ki zaroorat nahi hoti
by Hrithik Roshan
categorised in World & Universe
and also in Romance, Poem, Music
——-
Pyar toh bas ho jaata hai, kaise? … na tum jaano na hum
by Hrithik Roshan
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-
Tumne bachpan se lekar aaj tak mujhe bahut khushiyan di hai … har baar ek muskurahat khatam hone se pehle, ek nayi muskurahat di hai
by Alok Nath
categorised in World & Universe
and also in Happiness
——-
Woh joh bachchon jaisi bholi ho … par samajhdari us mein badhon jaisi ho … joh itni khoobsurat ho, ke usse jitni baar dekho kam lage … jiski muskurahat sabko musrane par majboor karde … aur jiski aankhen aaisi ho, ke usse jhoot kehne ka mann hi na kare … aaisi hogi woh
by Hrithik Roshan
categorised in World & Universe
and also in Romance
——-
Vishvas sirf dekhne se nahi hota hai … vishvas dil se hota hai, manne se hota hai
by Alok Nath
categorised in World & Universe
and also in Inspiration
——-
Zindagi mein khush rehne ke liye sirf teen cheezon ki zaroorat hoti hai … achcha khana, achchi gaadiyan aur achchi ladkiyan
by Saif Ali Khan
categorised in World & Universe
and also in Life, Food & Drinks, Transportation
In case there are some dialogues missed from the movie Na Tum Jaano Na Hum (genre: Romance) from 2002, one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialog, category, person/celebrity name it can be mentioned in comments.
Leave a Reply